Salam e Aakhir
- Miscellaneous (2014)
salam un pa jinhe sharm khaaye jaati hai
khule saron pe aseeri ki khaak aati hai
salam bhejte hai apni shahzadi par
ke jisko sawnp gaye marte waqt ghar sarwar
aseer ho ke jise shaamiyo ke narghay may
husainiyat hai sikhaana ali ke lehje may
ye sin, ye hashr ye sadmay naye naye bibi
kahan pa baithi ho qaime to jal gaye bibi
zameen garm, yateemi ki sakhtiyan bibi
wo seena jis pa ke soti thi ab kahan bibi
abhi kaleje may ek aag si lagi hogi
abhi to godh ki garmi na kam hui hogi
na is tarah koi kheti hari bhari ujdi
tumhari maang bhi ujri hai godh bhi ujdi
shareek-e-haq darood-o-salam-e-payghambar
salam sayyid-e-lawlaak ke lute ghar par
salam tum pe rasool-o-batool ke pyaro
salam mehr-e-shahadat ke gird sayyaro
<span -webkit-center;"="">Jo chal base to ye apna salaam-e-aakhir hai