Ya Fatema Zahra

- Ali Safdar (2011)


Ya Fatema Zehra...x4

Seene me liye ranj o alam karbobala ka.
Ya Fatema Zehra...

Baba se hai milne ko chali Umme Abiha.
Ya Fatema Zehra...

Ankho se lahoo bahta hai Pehlu hai shikasta
Ya Fatema Zehra...Ya umme Abiha.....
Ya Fatema Zehra..
Ya Fatema Zehra...pehlu e shikasta.....
Ya Fatema Zehra...

Ya Fatema Zehra...Ya umme Abiha.....

Ya Fatema Zehra...Ya umme Abiha.....
Ya Fatema Zehra..
Ya Fatema Zehra...pehlu e shikasta.....
Ya Fatema Zehra...

1. Ummat ne bohut aapko tadpaya hai bibi
har haq k liye aapko tarsaya hai bibi
Ghasib ne jo darbar me bulwaya hai bibi
Is dukh se larazne laga khud arsh khuda ka
ya fatema zehra..x2

ya fatema zehra..x4

2. Shabbir ki duniya me wiladat se bhi pehle
kehti thi ye zehra ke bohut sehti hu sadme
bachha ye mera kok me bechaen bohut hai
bachha mera kehta hai ke amma mai hu pyasa
ya fatema zehra..x2

ya fatema zehra..x4

3. Maa khana khilati hai to phir khate hai bache
jaati hai jahaa'n maa wahi aajaate hai bachhe
bin maa ke kabhi chaen nhi paate hai bachhe
kaam aata hai bachho pe bohut maa ka sahara
ya fatema zehra..x2

ya fatema zehra..x4

4. seene me azal se hi mere karbobala hai
jaate hue zehra ne yeh duniya se kaha hai
kya shaam me hona hai ye sab mujhko pata hai
kat te hue sehra me hai shabbir ka lasha..
ya fatema zehra..x2

ya fatema zehra..x4

5. duniya se chali kehti hui binte payambar
gham karbobala ka hai liye ye dil e muztar
aata hai tasawur me mere shaam ka manzar
Allaha rakhe zainab o kulsum ka parda
ya fatema zehra..x2

ya fatema zehra..x4

6. ye kaam raha sadiyo se bas ahle azaa ka
pyaso ke liye behta raha ashqo ka dariya
shabbir ka pursa diya zehra ko hamesha
shabbir ko do madar e shabbir ka pursa
ya fatema zehra..x2

ya fatema zehra..x4

7. Maao se azaadaro ki zehra ne kaha hai
aashur ke maqsad ka bharam tumne rakha hai
bachho ko azaadari par qurbaan kiya hai
mehshar me chukaungi mai karzaa ye tumhara
ya fatema zehra..x2

ya fatema zehra..x4

8. Ab dilse "Qamar" waris e zahra ko bulao
paamaal ye marqad pe bohut ashq bahao
ai muntakim e karbobala parda uthao
mohsin ki lahad par gaya pehlu e shikasta
ya fatema zehra..x2

ya fatema zehra..x4