Sakina So Rahi Hai

- Miscellaneous (2014)



kaha bano ne ye utho shehzadi
hui kya baat jo madar se roothi
utho baba ka sar aaya hai bibi
magar zindan ki har dewaar boli
sakina so rahi hai

na ab maarega koi bhi tamachay
na honge phir se ye ruqsaar neele
gala baandha na jayega rasan may
jo aaya shimr to ussay kahoongi
sakina so rahi hai

rasan ka zakhm ashkon se dhuladoo
tere baalon se ye mitti chudadoo
tere talwo ke chaalon ki dawa doo
ajal boli ke ye kaise chalegi
sakina so rahi hai

andhera roya sannate se mil kar
falak girne laga dharti ke upar
hilaane par bhi jab bachi na jaagi
to boli ye fizaon ki khamoshi
sakina so rahi hai

adab ki ja hai ye rehaan dekho
buland awaaz se halkeeza bolo
yahan to fateha bhi dheere padna
yahan awaaz hojaye na oonchi
sakina so rahi hai