Ro Ro Kehti Thi Bano

- Miscellaneous (2014)



dhondhti hoo tumhein mere jaani
ho kahan mere yusufe saani
pyaas may turn ne paaya na pani
aao asghar tumhari bala loon

halq par teer-e-bedaad khaaye
khoon may sar se pa tak nahaye
qoob jungle may aaram paaye
aao asghar tumhari bala loon

nanha sa sar sina par chada hai
kunba sar-nange rota khada hai
jhula qaali tumhara pada hai
aao asghar tumhari bala loon
<span -webkit-center;"="">aao asghar tumhari bala loon