Alvidaa shehzada-e-Qasim

- Irfan Haider (2008)


Alvidaa shehzada-e-Qasim

Alwidaa Shehzada-e-Qasim Alwidaa

Saji Huwi Hai Karbala, Jaao Tumhe Allah Ko Sompa, Magar,

Ab Kisse Kehke Bulaunga Mai Tasweer-e-Hassan

Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan

(Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  1. Zainab-e-Khasta Jigar, Aur Kulsum-e-Hazeen
  2. Hoke Masruf-e-Bukaa, Ghash Pe Ghash Khaane Lagi

    Roke Kehti Hai Phuphi, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Izne Dekho Na Akhi, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Tu Sifarish Ke Liye Laaya Jo Tawiz-e-Hassan

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  3. Bhai Shabbar Ki Mere, Ik Nishaani Tum Ho
  4. Kaise Marne Ke Liye, Bhejdun Mai Tumko

    Tumhi Akber Ho Mere, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Tumhi Lashkar Ho Mere, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Sang Iss Dil Pe Rakhaa Phir Yeh Kiye Maine Sukhan

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  5. Dediya Izne-Wighaa, Thaam Ke Qalbo-Jigar
  6. Tum Bhi Hojaao Judaa, Ay Mere Nure-Nazar

    Jaao Hafiz Hai Khuda, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Roke Sarwar Ne Kahaa, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Alwidaa Tujhko Kahaa, Hone Lagi Dil Mei Chubhan

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  7. Maa Ke Armaan Hai Kya, Yeh Nahin Socha Kabhi
  8. Kya Hai Behnon Ki Dua, Yeh Nahin Socha Kabhi

    Tum Jo Marne Ko Chale, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Zakhm-e-Dil Gehre Huwe, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Bewaa Lagne Lagi Yeh Kehte Hii Ik Shab Ki Dulhan

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  9. Maardalega Mujhe, Teri Furqat Ka Yeh Gham
  10. Tu Suwe Dasht Na Jaa, Tujhko Sughra Ki Qasam

    Waqt Yeh Kaisa Padaa, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Jo Ho Manzur-e-Khudaa, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Dasht Se Laaunga Gathri Mei Tera Tukde Badan

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  11. Ban Mei Jab Jaaoge Tum, Yeh Toh Mujhko Hai Khabar
  12. Tan Se Kardoge Judaa, Arzaqe Shaami Ka Sar

    Hai Magar Yeh Bhi Yaqee(n), Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Tujhko Gheirenge Laee(n), Ay Mere Shere-e-Jawaan

    Haaye Hojaaega Paamaal Yeh Naazuk Sa Badan

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  13. Dashte Ghurpat Pe Mujhe, Sab Ke Sab Chhodgaye
  14. Aur Shahadat Ke Liye, Tum Qamar Bastaa Huwe

    Meri Mayyat Ke Liye, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Chaar Kaandhe Na Rahe, Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Ab Yaqee(n) Hogaya Rehjaaunga Begoro Kafan

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  15. Dekh Maadar Ki Taraf, Kaisi Karti Hai Bukaa
  16. Aankh Mei Dajlaae Gham, Aur Honton Pe Sadaa

    Dekh Marjaaye Na Maa(n), Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Kaise Bhejun Me Wahaa(n), Ay Mere Sher-e-Jawaan

    Tu Jahaan Jaane Ko Kehta Hai Woh Hai Mawt Ka Ban

    (Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

  17. Roke "Mazhar" Ne Kahaa, Yeh Hai "Irfan"-e-Aza

Jab Tasawwur Mei Gaya, Mera Dil Qaamp Uthha

Kaise Maula Ne Kahaa, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Jaa Sue Dashte-Qazaa, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Aaj Bhi Rota Hu(n) Jab Honton Pe Aata Hai Sukhan

(Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x3