Chale aao baba
- Irfan Haider (2008)
Chale aao baba
(Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Chale Aao Baba) x2
Sunaati Hai Mujhko Phuphijaan Kahaani, Karun Kya Magar Neend Aati Nahin Hai
(Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x2
- Kaleje Mai Uthta Hai Ik Dard Aisa,
- Huwaa Kyun Na Jaane Sitamgar Zamaana,
- Rulaati Hai Mujhko Laeenon Ki Baatein,
- Khabar Hai Yeh Mujhko Khataa Meri Kya Hai,
- Yateemi Ka Ehsaas Hii Ik Sitam Hai,
- Kabhi Maine Socha Nahin Tha Yeh Baba,
- Phuphi Jaa(n) Se Aksar Suna Hai Yeh Nauha,
- Masaaeb Ne Yeh Haal Sab Ka Kiya Hai,
- Yeh "Irfan-o-Mazhar" Ke Dil Ki Sadaa Hai,
Ke Jiske Liye Na Dawaa Na Dilaasa
Mai Kal Tak Toh Sine Pe Soti Thi Baba,
Yehi Soch Kar, Neend Aati NAhin Hai
(Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2
Kabhi Gurkhiyan De Kabhi Taziyana
Yehi Khauf Hai Jo Satata Hai Mujhko,
Issi Baat Par, Neend Aati Nahin Hai
(Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2
Guzarti Hai Aise Yateemi Ki Raatein
Kahin Shimr Aakar Tamaache Na Maare,
Hai Dil Mai Yeh Dar, Neend Aati Nahin Hai
(Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2
Yehi Na Ke Jadd Mera Mushkil Kusha Hai
Sunaaye Woh Mushkil Kusha Mujhko Lori,
Unhe Do Khabar, Neend Aati Nahin Hai
(Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2
Musalsal Tarapne Se Hoton Pe Gham Hai
Agar Ab Yeh Zindaan Hii Ghar Hai Mera,
Chale Aao Ghar, Neend Aati Nahin Hai
(Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2
Ke Tumse Bichhadkar Bhi Jeena Padhega
Tumhaare Bina Hii Mujhe Ab Hai Jeena,
Yehi Jaankar, Neend Aati Nahin Hai
(Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2
Tadapta Hai Ban Mai Shah-e-dee(n) Ka Laasha
Mere Paas Aajaao Maqtal Se Baba,
Tumhe Bhi Agar, Neend Aati Nahin Hai
(Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2
Ke Din Raat Matam Hai Aaho Bukaa Hai
Phuphi Ho Ke Sajjad Ho Ya Sakina,
Kisi Ko Idhar, Neend Aati Nahin Hai
(Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x 2
Jaha Shahzadi Ka Madfann Banaa Hai
Hai Jisne Bhi Dekha Sitam Ka Wo Zindaan,
Usse Umr Bhar, Neend Aati Nahin Hai
(Chale Aao Baba, Chale Aao Baba, Mujhe Khaak Par Neend Aati Nahi Hai) x2