Haye shaam-e-gharibaan
- Farhan (ALI WARIS) (2002)
Haye shaam-e-gharibaan
(Haey Shaam-e-Gharibaan Haey Shaam-e-Gharibaan) x2
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Ab Aey Hain Jab Fauj-e-Khuda(a.s.) Sogai RanJab Khoon Bhara Parcham Hai Alamdar Ka Ban Mein
Seenay Say Alam Ghazi(a.s.) Ka Liptaiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Maidaan Mein Laasha Hai Meray Bhai(a.s.) Ka UriyanPoshaak Meray Bhai(a.s.) Ki Hai Khoon Main Ghaltaan
Lillha Kafan Bhai(a.s.) Ko Pehnaiya Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Abid(a.s.) Ko Bacha Lai Hoon Jaltay Huey Ghar SayGo Shimr-e-Laeh Legaya Chadar Meri Sar Say
Sar Peh Meray Amamay Ko Phailaiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Baba Mujhay Jana Hai Abhi Qaid-e-Sitam MeinHona Hai Izafa Abhi Kuch Aur Bhi Ghum Mein
Dam Nad-e-Ali(a.s.) Baazoo Peh Kar Jaiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Baba Main(s.a.) Bohat Tarhpi Hoon Shabbir(a.s.) Kay Ghum MeinDil Tukrhay Hai Baba Mera Gazi Kay Alam Mein
Matam Karoon Yeh Reesmaan Khulwaiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Baba Main(s.a.) Rasan Basta Suey Shaam Chali HoonLagta Hi Nahin Mujh Ko Keh Main Bint(s.a.)-e-Ali(a.s.) Hoon
Hamraah Najaf Ab Mujhay Lejaiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Khaimon Ki Jali Raakh Peh Baithi Hai Sakina(a.s.)Sonay Kay Liey Dhondti Hai Baap Ka Seena
Shabbir(a.s.) Na Aaengay Yeh Samjhaiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Abbas(a.s.) Mera Sogaya Dariya Kay KinarayPardes Mein Cheenay Gaey Sab Meray Saharay
Main Kis Kay Saharay Jiyon Batlaiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Had Hogai Asghar(a.s.) Sa Mujahid Bhi Nahin HaiAur Hoosh Mein Is Waqt To Abid(a.s.) Bhi Nahin Hain
Abbas(a.s.) Ko Dariya Say Bula Laiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Aththara Baras Pala Tha Jis Ko Woh Kahan HaiTooti Hui Ab Seena-e-Akbar(a.s.) Mein Sina Hai
Maidan Say Akbar(a.s.) Ko Utha Laiyay Baba
Aey Hain Agar App To Ruk Jaiyay Baba (Ghar Jalgaya Main Kia Karon Farmaiyay Baba) x2
Baba Mujhay Koofay Mein Phiraengay SiamgarLe Jaaeyga Bazaaron Mein Yeh Shaam Ka Lashkar
Chadar Meray Sar Kay Liey Ban Jaiyay Baba