Zindaa'n me sakina

- Fatema Ladak (2009)


Haye sakina..x2
Haye sakina ...haye haye sakina.....
Haye sakina

Zindaa'n me sakina me qayamat ki ghadi hai..x2
Har saans me marne ki dua maang rahi hai......

Zindaa'n me sakina me qayamat ki ghadi hai..x2

1. Aaghosh me sajjad ke roti hai wo bachhi..
Darwaza e zindaan pe baithi hai wo bachhi
Aazaad parindo ki taraf dekhrahi hai....

Zindaa'n me sakina me qayamat ki ghadi hai..x2

2. Mai kabse sada deti hu aate nahi baba..
Aawaaz bhi beti ko sunate nahi baba...
Kya aapki beti se khata aisi hui hai....

Zindaa'n me sakina me qayamat ki ghadi hai..x2

3.Zindaa'n ke andhero me bhala kaise rahegi...
Kya khaak ke bistar pe woh aaraam karegi
Jo chaar baras baap ke seene pe pali hai...

Zindaa'n me sakina me qayamat ki ghadi hai..x2

4. Kis tarha bulae koi abbas se kehde...
Aawaaz nikalti nahi bachhi ke gale se....
Maasum ki gardan me rasan aisi bandhi hai.....

Zindaa'n me sakina me qayamat ki ghadi hai..x2

5. Kehti hai wo zainab se phupi paas to aao...
Padkar meri haatho'n ki lakeero ko batao...
Kya mere muqaddar me rihaii bhi likhi hai....

Zindaa'n me sakina me qayamat ki ghadi hai..x2

6. Paani ka khayal aate hi aajaate hai aa'nsu...
Yaad aate hai maasum ko abbas ke baazu
Daaman ki tarah aag kaleje me lagi hai...

Zindaa'n me sakina me qayamat ki ghadi hai..x2

7. Yaad aati hai sughra ki to kehti hai wo roke...
Baazaar se darbar se durro se sitam se...
Hai shukr e khuda ka koi bibi to bachi hai....

Zindaa'n me sakina me qayamat ki ghadi hai..x2

8. Socho to zara MIR TAKALLUM wo ghareebee...
Haye jo imamat ke ujaalo'n me pali thi...
Turbat usi bachi ki andhere me bani hai....

Zindaa'n me sakina me qayamat ki ghadi hai..x2