Sakina ki turbat banate banate

- Shahid Baltistani (2012)


Haay hai kaisa andhera ya kya hogaya hai
Hai kiska janaza Qayamat bapa hai
Qayamat bapa hai xx2
Bhala kaun Qaidi hai kya dhundta hai
kahan par banaye lahad sochta hai
Qayamat bapa hai Qayamat bapa hai
haay haay

zaaefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...x2

kayi baar marke wo zinda hua hai
bahen ko zameen par sulate sulate
zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...x2

kahin ankh barsi kahin dil chida hai
kahin hath larze kahin dam ruka hai x2
bahattar janazo se guzra hai aabid
behen ka janaza uthaate uthaate
zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...

huwe kaan zakhmi tamache lage the
sakina ki ankhon me aansu bhare the x2
suwe neher takti thi hasrat se bachchi
jala apna daaman bujhate bujhate
zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...

lahad ke liye mil gaya Qaid khana
reha khud na ho payi bali sakina x2
magar wo aseero ko Qaide sitam se
rehayi dilakar gayi jaate jaate
zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...

ye zahra ki poti hai ghazi ki pyari ...
bahut laadli hai ye apne padar ki ...

Qayamat bapa hai Qayamat bapa hai

yeh Darbaar me kya Qayamat hui hai
sakina phuphi se ye kya puchti hai x2
kahin marr hi jae na zainab khudaya
kanizi ka matlab batate batate
zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...

Hai sadme mein bano Qayamat hai kaisi
padar se wo baatein abhi kar rahi thi x2
magar ab kabhi bhi na bolegi bachchi
ye maa ko yakeen aaega aate aate
zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...

sakina ki jaanib se aye mere maula
sajaa naame asgar pe hasrat hai meri x2
guzar jae 'akbar' ki ye umr saari
sabilo se paani pilaate pilaate
zaeefi me abid ki badli jawani sakina ki turbat banate banate ...