Khat-e-Sughra
- Irfan Haider (2008)
Khat-e-Sughra
Haaye Sughra, Udaasi Ghar Mai Nauha Khwaan Thi
Haaye Sughra, Shabihe Zehra Pareshaan Thi
Haaye Sughra, Jab Yaad Sataane Lagi Ahl-o-Ayaal Ki
Sughra Ne Ik Charaagh Jalakar, Baba Ko Khat Likha
- (Watan Mai Chhorgaye, Apni Shahzadi Ko) x2
- Salaam Bheja Hai Sughra Ne, Bas Yehi Kehkar
- Yeh Baap Beti Ki Ulfat Toh, Kam Nahin Hogi
- Mera Shabihe Nabi Akber, Jab Azaa(n) Dega
- Chalaa Tha Ghar Se Safar Ko Jo, Kaarwaa(n) Mera
- Chacha Bhatiji Ki Ulfat Toh, Yaad Hai Baba
- Safar Pe Jaane Se Pehle Yeh, Baat Hoti Thi
- Yeh Itminaan Mere Baba, Hai Mere Dil Ko
- Safar Mai Eid Jab Aayegi, Sayyed-e-Zeesha(n)
- Jo khat Mai Bayn The Sughra Ke, "Mazhar-o-Irfa(n)"
Hamaare Baad Khushi Koi, Jab Manaaenge
(Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aayenge) x3
Na Maut Aayi Na Tum Aaye, Na Ali Akber
Parinde Lout Ke Jab Bhi, Gharon Ko Jaaenge
(Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
Dukhe Huwe Mere Iss Dil Ko, Hai Sukun Yehi
Ghale Se Baali Sakina Ko, Jab Lagaaenge
(Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
Zohr Ho Fajr Ho Maghrib Ho, Asr Ho Ke Isha
Namaz Parhte Jo Daste, Dua Uthaayenge
(Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
Humak ke Gowdi Me Aaya Tha, Bezubaa(n) Mera
Jab aap Jhulaa Mere Bhai, Ka Julaaenge
(Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
Alam Ke Saaye Mai Rehti Thi, Fatema Sughra
Mere Chacha Ka Alam Jab, Wahaa(n) Sajaaenge
(Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
Ke Sab Se Pehle Dulhan Aaye, Ghar Mai Qasim Ki
Jab aap Dasht Mai Dulha, Usse Banaaenge
(Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
Koi Kaniz Ho Kubra Ho, Ya Sakina Ho
Kisi Ko Pyaar Se Jab Bhi, Ridaa Urhaaenge
(Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
Chacha Ho Aap Ho Akber Ho, Ya Phuphi Amma(n)
Sakina Bibi Ko Jab, Baaliya(n) Penaaenge
(Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge) x3
Pisar Ki Laash Pe Parhte The, Sayyed-e-Zeesha(n)
(Watan Mai Chhodgaye Apni Shahzadi Ko) x2
Hamaare Baad Khushi Koi Jab Manaaenge
(Ay Baba Ham Bhi Tumhe Yaad Bohot Aaenge)