Ya Abbas: Jahan Bhi Pani

- Nasir Zaidi (2010)



jahan bhi pani-o-mask-o-alam ki baat chali,
ali ke laal ke qadmo tale furaat chali
wafa-e-ishq-o-mohabbat ki kaayanat chali,
dua-e-fatima zehra bhi saat saat chali
alam ke dam se hai ab tak hayaat pani ki,
jari ki jeet hui aur maath pani ki
ya abbas, ya abbas

sakina bibi ke sadkhe ali ke laal salaam,
jari shaki asad-e-sher-e-zuljalaal salaam
wafa ki aakhri hadke mahay kamaal salaam,
nahi hai dono jahaan may teri misaal salaam
tere kate hue baazu nijaat pani ki,
tere badan ka pasina zakaat pani ki
ya abbas, ya abbas

meri hayaath ka samaan nasir-e-shabbir,
badalta rehta hai jo kaayanat ki taqdeer
faraath-o-mashq-o-alam jiski hashr tak jaageer,
mai aur ye meri tanzeem iske dar ke fakheer
bahegi chasm-e-aza se faraath pani ki,
chalegi majlis-o-matam may baat pani ki
ya abbas, ya abbas