Al-madad Ya Zahra

- Shahid Baltistani (2010)


Almadad ya zehra (lyrics)

Fatema zahra...(6)
Haye haye zainab haye haye shaam

Sham ko jate hue...(2)
Kehti thi saniye zehra...
Almadad ya zehra...(8)

Sharm aati thi mujhe mai,baap se na kehsaki
Aap maa hai jaanti hai,kaifiyat dil ki meri
Ho gai binte ali...(2)
Na mehramo'n mei be parda

Almadad ya zehra

Bekasi dikhla rahi hai,kya qayamat ka samaa
Mar na jaye gham se makhtal,mei kahi asghar ki maa
Kaise dekhegi bhala...(2)
Naize pe jism asghar ka

Almadad ya zehra

Duur naa hone diya tha,apni nazro se jise
Us jawa bete ko laila,alwida kaise kahe
Laash e akbar saamne...(2)
Rone pe hai laga pehra

Almadad ya zehra

Hathkadi hatho me hai,aur bediya hai pao mei
Ab kaha mohlat milegi,baithne ki chhao me
Sham tak sajjad ka...(2)
Kaanto se hai hai bhara rasta

Almadad ya zehra

Ladkhadate hai kadam,aur ankh mei ansu bharo
Marhala dushwar hoga,ye rukaiyya k liye
Lasha e abbas se...(2)
Guzregi kaise be parda

Almadad ya zehra

Dasht me takseem kaise,hogaya wo mehjabeen
Sar kahi tukde kahi hai,aur sehra hai kahi
Apne qasim ko bhala...(2)
Pehchane kistarah farwa

Almadad ya zehra

Berida binte ali hai, bekafan ibne ali.
Sham jae ya sambhale, laash ko shabbir ki
Kaanpte hoto'n pe ye...(2)
fizza ke isteghasa thha

Almadad ya zehra

Sharm aati thi mujhe mai,baap se na kehsaki
Aap maa hai jaanti hai,kaifiyat dil ki meri
Ho gai binte ali..(2)
Na mehramo mei be parda

Almadad ya zehra

Dasht me aun o mohammad,ki takallum thi sada
Bhar na aaye maa ka dil laa,she chhupa de ai hawa
Ruk na jaen ye kadam..(2)
Hai sakht imteha'n maa ka

Almadad ya zehra

Haye haye zainab haye haye shaam..(3)
Fatema zehra...(3)