Meri Tarhaa Koi Yateem Na Ho
- Irfan Haider (2008)
Meri Tarhaa Koi Yateem Na Ho
Qafla shah ka, haay warid-e-kufa jo huwa,
aan kar umme habiba ne sakina se kaha,
ay yatima tu mere waste yeh maang dua,
are teri tarhaa se kise ko na yatimi de khuda,
sunke bazaar me ye umme habiba ki buka,
are rookh suwe neza kiya aur sakina ne kaha, Baba
Dua mei karti, aamin kaho, meri tarhaa koi yatim na ho
Sakina kehti thi ro ro kar, Babajaan, Meri tarhaa koi yateem na ho
- Baba yateem ho kar, ehsaas ye huwa hai, kya cheez hai yatimi, har saas hi sazaa hai, Babajan
- Awlaad waalay mujhe ko, kehne lagay yatima, pardes me sakina, par waqt kaisa aya, Babajan
- Yeh aap jaantey hai, jo kaifiyat hai meri, socha kabhi nahi tha, bazaar me phiroongi, babajan
- Kya haal kar diya hai, dekho to ashkiya ne, khaane ko kya milaa hai, zaalim ki taaziyaane, babajan
- Jeenay se mera dil to, bezaar hochuka hai, baazu bandhe hai sabke, mera gala bandha hai, babajan
- Kyu(n) zinda hai sakina, itne ghamo ko seh kar, zaalim mujhe bulaae, apni kaneez keh kar, babajan
- Beti ki baat sun kar, sar shah ka pukaara, Sakina, sun kar fughaa tumhaari, rota hai dil humaara, (Meri jan)
- "Irfan" aur "Mazhar", rota hai is fughaa(n) par, shabir ki who dukhtar, kehti hai hum se rokar (Zaakiro)
Yeh meri dil ki hai aawaaz suno, meri tarhaa koi yatim na ho
Sakina kehti thi ro ro kar (Babajaan)Meri tarhaa koi yateem na ho
Yeh kehke sar pe merey haath rakho, Meri tarhaa koi yatim na ho
Sakina kehti thi ro ro kar, Babajaan, Meri tarhaa koi yateem na ho
To ab dua mei mera saath to do, meri tarhaa koi yatim na ho
Sakina kehti thi ro ro kar, Babajaan, Meri tarhaa koi yateem na ho
Lagay jo pyaas to bas ashkh piyo, meri tarhaa koi yatim na ho
Sakina kehti thi ro ro kar (Babajaan)Meri tarhaa koi yateem na ho
Meri aseeri ko dekho socho, meri tarhaa koi yatim na ho
Sakina kehti thi ro ro kar (Babajaan)Meri tarhaa koi yateem na ho
Me khud se kaisay kahu(n) sabr karo baba, meri tarhaa koi yatim na ho
Sakina kehti thi ro ro kar, Babajaan Meri tarhaa koi yateem na ho
Khuda se mai yehee kehta hu suno, teri tarhaa koi yatim na ho
Sakina kehti thi ro ro kar, Babajaan Meri tarhaa koi yateem na ho
Ye marsiya meri majlis me parho, meri tarhaa koi yatim na ho
Sakina kehti thi ro ro kar, Babajaan Meri tarhaa koi yateem na ho