Mujrae Khalq me
- Miscellaneous (2014)
mujrae khalq may in ankhon ne kya kya dekha
par kaheen sibte payambar sa na aaqa dekha
maine dekha alam e shah ko aaluda e khoon
maine abbas ko bejaan labe darya dekha
maine dekha ali asghar ka gala khoon may tar
maine zaqmi ali akbar ka kaleja dekha
ek ghatri shahe deen pusht pe laaye usmay
maine tukde huye qasim ka sarapa dekha
berida qalq ne us bibi ke sarko dekha
jiski maadar ka kisi ne na janaza dekha
kehti thi zainab e muztar ke khuda qair kare
raat ko khaab may uryan sar e zahra dekha