Shaam-e-gharibaa(n)
- Irfan Haider (2008)
Shaam-e-gharibaa(n)
Kaisi Qayamat Laikar Aayi, Dasht-e-Balaa Mai Sham-e-Gharibaa(n)
Saani-e-Zehra Thi Pehre Par, Tashna Dahan Ba Haale Parishaa(n)
Aaye Ali, Jab Dashte Balaa Mai, Baap Ko Beti Ne Pehchaana
Phenk Diya Tuta Huwa Neza, Kadmon Me Ghir Kar Boli Who Dukhiya
Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka
Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

- Aap Aagaye Is Dasht Mei, Accha Kiya Baba
- Paamaal Huwa Dil Mera, Qasim Ki Tarha Se
- Khaimo(n) Ki Bachi Raakh Hai, Saadaat Ka Bistar
- Paivast Mere Qalb Mei, Barchhi Ki Ani Hai
- Ay Baba Usse Khaagaye, Gham Karbobala Ke
- Maanga Tha Jisse Aapne, Khaaliq Se Dua Mei
- "Mazhar" Yeh Bayaa(n) Sunte Hii, Rone Lagaa Irfa(n)
Khud Dekhiye Kis Haal Mei, Hai Aapka Kunba
Hai Baap Kisi Ka Yahaa(n), Beta Hai Kisi Ka
Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka
Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka
Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka
Saughaat Mujhe Kya Mili, Is Karbobala Se
Kaata Hai Pas-e-Pusht Se, Sar Mere Akhi Ka
Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka
Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka
Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka
Kya Soyegi Is Raakh Par, Shabbir Ki Dukhtar
Ye Jalti Huwi Ret Hai, Gehwaara Kisi Ka
Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka
Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka
Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka
Zainab Ki Toh Is Dasht Mei, Jaagir Luti Hai
Who Dekhiye Laasha Mere, Hamshakle Nabi Ka
Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka
Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka
Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka
Paala Tha Jisse Aapne, Saaye Mei Abaa Ke
Hai Dasht Mei Begoro Kafan, Laasha Ussi Ka
Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka
Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka
Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka
Matam Hai Ussi Sheyr Ka, Maqtal Ki Fazaa Mei
Gham Khagaya Uss Sheyr Ko, Bas Tashna Labi Ka
Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka
Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka
Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka
Thi Aale Nabi Dasht Mei, Kis Darja Pareshaa(n)
Yeh Dekh Ke Tukre Huwa, Dil Gham Se Ali Ka
Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka
Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka
Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka
Abbas-e-Jari Ka, Abbas-e-Jari Ka