Sare Hussain Sakina ki God me aaja

- Fatema Ladak (2012)


Sare hussain sakina ki ghod mei aaja

Sare hussain sakina ki ghod mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

(Khadi hai haathon ko pehlaye) x2 gham zada dukhiya, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

Wo haske kehta hai dekhun to kaise ulfat thi
Suna hai shah ko tumse bari mohabbat thi
Tumhare haath mei ab meri laaj hai baba, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

Sare hussain sakina ki ghod mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

Hamesha baat sakina ki aap ne maani
Hamari baat kabhi aaj tak nahi talli
Suboot chahiya zalim ko is mohabbat ka, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

Sare hussain sakina ki ghod mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

Kafan se haath nikale the meri daadi ne
Wo gharki baat thi ulfat ke bhi takaze the
Magar yahan pe sakina hai aur phir ye jafaa, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

Sare hussain sakina ki ghod mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

Zamin-e-karbobala par wo karwate legi
Ye sunke laashe alamdar kaamp uthegi
Khuda kare na sunne baat ye mera saqqa, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

Sare hussain sakina ki ghod mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

Duae karte hai ehle haram ye roro ke
Khuda hussain ki beti ko kaamyaab kare
Nazar jhukaye hai beemare karbala mera, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

Sare hussain sakina ki ghod mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

Mujhe bhi apne masaib sunaiye baba
Jale huwe mere daman mei aayiye baba
Sitam hai aaj tamashayi bangayi duniya, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

Sare hussain sakina ki gohd mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

Mila jo ajre risalat bataungi tumko
Galle pe neel rassan ke dikhaungi tumko
Musibaton se guzarta hai bachpana mera, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

Sare hussain sakina ki gohd mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai

Mohbbaton ka takallum ye mojiza dekha
Sarre hussain sakina ki gohd mei ayaa
Na aayi baali sakina ke phir labon pe sadaa, yazeed aaj mera imtehaan leta hai