Aye mere laadli zainab

- Shahid Baltistani (2013)


haye..
badne laga jab shaame gariba ka andhera 
zainab ne kisi shaks ko aate hue dekha
tum kaun ho jab saaniye zehra ne yeh poocha
chehre se naqab apne uthakar wo pukara
ke aaya hai najaf chorke beti tera baba
aye meri laadli zainab
aye meri laadli zainab x4

sunkar teri awaaz lehed chor chuka hu 
tere liye main bande kafan tod chuka hu 
naazo ki pali aa meri aagosh main aaja
aye meri laadli zainab x4

abbas ka baba hu khabar hai tujhe beti
gairat mujhe nazro ko uthane nahi deti 
beparda hai tu baap se dekha nahi jata
aye meri laadli zainab x4

kaisa hai sitam tera bhara ghar hua khali 
pardes me tu ho gayi bin bhaiyo wali 
tu role alamdar ko main deta hu pehra
aye meri laadli zainab x4

bacho ko ghulamo ke barabar hi samajh le
bete na samajh khadim-e-akbar hi samajh le
kar aun o mohammed pe bhi kuch der to girya
aye meri laadli zainab x4

gairo ki tarha door woh kyu baithi hai jakar
main aa na saka uska padar tha tahe khanjar 
kya roothi hai is baat pe dada se sakina
aye meri laadli zainab x4

kal se hai safar tera bohat door ka beti
yeh sochke phatta hai kaleja mera beti
paidal tujhe aadat nahi chal ne ki zyada
aye meri laadli zainab x4

zainab ne Takallum kaha haye mera parda
jab bole Ali shaam ke darbar hai jana 
tu tanha nahi jaayegi main saath chalunga

aye meri laadli zainab x4