Sakina Ka Janaza

- Irfan Haider (2009)


Sakina Ka Janaza

Hai bekasi sajjad ki

Ehsaas huwa jab ke qaza kargai sakina

Hasrat se bandhe hathon ko mein dekh raha tha

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

Sajjad ka zindaane sitam mein tha ye nawha

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  1. Faqon pe basar karta raha mein nahin roya
  2. Kanton pe safar karta raha mein nahin roya

    Is gham ne mujhe ankhon se haye khun rulaya

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  3. Pathrayi huwi ankhon ne mujhko ye khabar di
  4. Ehsaas huwa jab ke qaza kargayi bachhi

    Hasrat se bandhe hathon ko mein dekh raha tha

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  5. Taqdeer ne ay baba sitam kaisa kiya he
  6. Maut aane se pehle hi mujhe maar diya he

    Zindaan mein aakar mujhe batlaao khudara

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  7. Hei(n) beriya(n) pero(n) mei(n) magar dil he giraftar
  8. ye kaisi ghari ayi imamat huwi lachaar

    Ejaze imamat na dikhau(n) to karu(n) kya

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  9. Na taaqti aisi he ke chalne nahi(n) deti
  10. Zainab ne kaha uspe ye zanjeer he bhari

    Sajjad sambhalu(n) mei(n) tujhe ya mere beta

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  11. Chipka tha badan se jo wohi kurta kafan he
  12. Ye soch ke khun rota ye mehroome watan he

    Kis tarah sakina ko yahaa(n) dafn karunga

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  13. Is bachhi ne ghurbat mei(n) bohot saath diya tha
  14. Peene ko mila pani to zanjeero(n) pe dala

    Afsos ke mei(n) uski madad kar nahi(n) paya

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  15. Zanjeer bhi he nawha kuna mein bhi haram bhi
  16. Zindan mein he masroofe fugha mein bhi haram bhi

    Is manzare ghamnaak pe sab karte hei(n) girya

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

    Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

  17. "Irfan-e-aza" tera har ek lafz he "mazhar"

Phir bhi tu raqam kar nahin paya he who manzar

Ye baat he sajjad ke nawhe ka khulasa

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza - Hai bekasi sajjad ki

Zanjeer sambhalun ke sakina ka janaza

(Hai bekasi sajjad ki)x3