Bhaiyya Ali akbar

- Nadeem Sarwar (2014)


Bhaiyya aliakbar, bhaiyya aliakbar..(4)

Bhaiyya aliakbar, bhaiyya aliakbar

Sughra ne ye khat akbar ko likha, Kese ho mere pyaare bhaiyya

Bichde hue arsa beet gaya, kab tak ye bahen dekhe rasta

Jab ghar ko parinde jaate hai,

 kya hum bhi tumhe yaad aate hai..(2)

 

Lo qaside sughra ghar se chala, likha hai batao ae bhaiyya

Ab tak na khayaal aaya mera, kya aisi hui hai mujhse khata

Kya aise rooth ke jaate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai

 

Sab chod gaye hum ko tanha, kis haal me hu kya tumko pata

Beemar ko de ab kaun dawa, ajao jo tum mai pau shifa

Jab chain se sab sojate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai

 

Jab ba li sakina aur asghar, milte hai gale tumse haskar

Aur saath me ho maa aur padar, bus itna bata bhaiyya akbar

Sab ghar me haste hasate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai

 

Jab jab bhi musalle par bhaiyya, karte ho namaze fajr ada

Beemar ke haq me behre shifa, karte hai dua mere baba

Sab apne haath uthate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai

 

Qasim jo sakina ko bhaiyya, deta hai  koi laakar tohfa

Dono se gale milkar baba, dete hai dua lekar bosa

Aur pyaar se sar sehlate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai

 

Jab ghar me khushi ka ho saama, sab ek jagah ho peero jawa

Khush dekhke sab ko ho amma, aajae koi ghar me mehma

Jab dastarkhan bichate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai

 

Hasrat hai tera sehra dekhu, majae tera matha chumu

Bate to bohot hai kya likhu, nadir hu bhaiyya kya bheju

Ehbaab jo tohfe laate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai

 

Jab zikr kabhi hota hoga, majae tumhare shadi ka

Khush hongi sakina aur kubra, bandhega aliakbar sehra

Khushiyo ke phool khilate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai

 

Kya aur likhu kya batlau, dil cheer ke kaise dikhlau

Khud aau ke tumko bulwau, bhaiyya mai tujhe kese pau

Bus tanha ashk bahate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate hai

 

Qasid jo khate sughra laya, ek baap kamar thame tha khada

Bhai ke labo par tha sughra, roro ke shanawar aur raza

Khat sughra ka dohrate hai..

Bhaiyya ali akbar, bhaiyya ali akbar..(2)