Karbala aake boli ye zainab

- Miscellaneous (2014)


Karbala aake boli ye zainab

Mere maa jaye mai tum pe waari

Qaidkhane se chhut kar mai aayi

Khaak udati hui ghum ki maari

Karbala aake boli ye zainab

Mere maa jaye mai tum pe waari

Bekaso ke liye aasra the

Saare aalam ke mushkil kusha the

Tum to farzand e mushkil kusha the

Thi musibat mein khwahar tumhari

Karbala aake boli ye zainab

Mere maa jaye mai tum pe waari

Jal gaye ab to khaime hamare

Ab kaha'n jaye sab ghim ke maare

Dekho rote hai bacche tumhare

Bekaso ki suno aaho zaari

Karbala aake boli ye zainab

Mere maa jaye mai tum pe waari

Sar khule sab aseere sitam the

Baalo se mu chipaye haram the

Ek chadar ke mohtaaj hum the

Hogayi zindagi hum pe bhari

Karbala aake boli ye zainab

Mere maa jaye mai tum pe waari

Raah mein bhayya kaante bichaye

Uspe zainul ebaa ko chalaye

Ruk gaye jab to durre lagaye

Is sabab se hue zakhm gaari

Karbala aake boli ye zainab

Mere maa jaye mai tum pe waari