Kya Mere Laal Ki Baarat Ab Na Aaegi
- Shabih Abbas Arfi (2024)
Umme Layla Ne Yeh Sar Peet Ke Fizza Se Kaha
Kya Mere Laal Ki Baraat Ab Na Jaayegi
Kya Na Kar Paungi Ab Farz Main Maadar Ka Ada
Kya Mere Laal Ki Baraat Ab Na Jaayegi
Kya Na Dekhungi Main Ab Apne Pisar Ka Sehra
Kya Kabhi Ab Na Banega Mera Bachcha Dulha
Mujhko Pardes Mein Taqdeer Ne Kya Loot Liya
Kya Mere Laal Ki Baraat Ab Na Jaayegi
Sun Rahi Hoon Ke Kaleje Pe Laga Hai Neza
Khoon Mein Doob Gaya Hai Mere Dil Ka Tukda
Le Gayi Kya Mere Hamshakle Payambar Ko Qaza
Kya Mere Laal Ki Baraat Ab Na Jaayegi
Kya Meri Koi Bhi Hasrat Na Nikal Paayegi
Kya Kabhi Ab Meri Qismat Na Badal Paayegi
Kaisa Khanjar Yeh Musayabka Mere Dil Pe Chala
Kya Mere Laal Ki Baraat Ab Na Jaayegi
Amma Fizza Yeh Bata Do Ke Kare Kya Layla
Raasta Kuch To Dikha Do Ke Kare Kya Layla
Kuch Nahi Ab Meri Aankhon Mein Andhere Ke Siwa
Kya Mere Laal Ki Baraat Ab Na Jaayegi
Mere Akbar Ne Yeh Sughra Se Kiya Tha Wada
Ae Behen Main Tumhe Lene Ke Liye Aaunga
Bujh Gaya Kya Meri Sughra Ki Umeedon Ka Diya
Kya Mere Laal Ki Baraat Ab Na Jaayegi
Us Ghadi Ho Gaya Kohraam Bapa Khaime Mein
Khaak Par Baith Gaye Shahehuda Khaime Mein
Baap Ne Bain Yeh Jab Madare Akbar Ka Suna
Kya Mere Laal Ki Baraat Ab Na Jaayegi
Dil Se Barchhi Jo Chhudayi To Na Roye Sarwar
Laash Akbar Ki Uthayi To Na Roye Sarwar
Roye Us Waqt Bahut Maa Ne Yeh Noha Jo Padha
Kya Mere Laal Ki Baraat Ab Na Jaayegi
Aeliya Dekh Ke Dariya Ki Taraf Dukhiyaari
Roke Kehne Lagi Waiz Yeh Ghamon Ki Maari
Aake Bas Itna Bata Do Ali Akbar Ke Chacha
Kya Mere Laal Ki Baraat Ab Na Jaayegi