Sakina Utho Meri Jaan Utho

- Safdar Abbas (2014)


sakina utho meri jaa utho rehai mili
chalo ghar chale..(2)

ye karti thi maa lahed par buka, meri laadli
chalo ghar chale

yaha se chalo chale karbala, wahi par tumhe milenge chacha
sitam jo hue batana unhe, dikhana unhe ye kurta jala
chacha jaan ko dikhana zara, rida khoo bhare
chalo ghar chale

padar se milo to diljoi ho, batana unhe bohot roi ho
qasam lo agar tumhare bina sakina kabhi kahi soi ho
lehed baap ki mile jab tujhe to kehna yahi
chalo ghar chale

baradar tere milenge waha, gae khuld ko jo tashna daha
sabhi zakhme dil dikhana unhe baradar se tu ye karna baya
mere bezuba utho ghar chale, shabihe nabi chalo ghar chale
chalo ghar chale

tujhe qaid me mili teergi, ujalo ko tu tarasti rahi
tujhe kya mila hai pardes me, yatimi ka ghum kabhi tashnagi
meri jaa utho shuru hum kare nayi zindagi
chalo ghar chale

uthaye sitam sahe sakhtiya tamache lage kabhi seliya
chini kis tarah sare karbala hamari rida teri baliya
waha roza-e- mohd pe tu batana yahi
chalo ghar chale

sunana unhe ye rudade ghum, hue kis qadar haram pe sitam
jale khaime sab luta malo zarr, safar bhi kiya hue qaidi hum
padar bekafan raha khaak par batana unhe
chalo ghar chale

sabhi ghum zada pareshan hai teri bekasi pe qurbaan hai
ye ehle haram sabhi mehve ghum, bohot muztarib puphijan hai
labo par teri puphijan ki fugha hai yahi
chalo ghar chale

sitam kya hue yaha qaid me buka qaid me fugha qaid me
mili qaid me zaifi use gaya bhai jo jawa qaid me
rasoole khuda se karna baya har ek bekasi
chalo ghar chale

tasawwur ne jo dikhaya mujhe wo zinda jaha haram qaid the
gaya marqade sakina pe jab to safdar lahu baha aankh se 
sada mazhar-e-hazi aaj bhi ye maine suni
chalo ghar chale

sakina utho meri jaa utho rehai mili
chalo ghar chale