Haaye Sajjad

- Safdar Abbas (2014)


Haay sajjad haay haay sajjad..(4)

sajjad sarbaa hai aur meere karwaa hai..(2)

gardan me tauq bhari haay..(2)
aankho se khoo rawa hai
haay sajjad haay haay sajjad
sajjad sarbaa hai aur meere karwaa hai..(2)

bazaar saj rhe hai har ek gali saji hai
in qaidiyo ki aamad yu shaam me hui hai
patthar baras rahe hai haay..(2)
bus aag aur dhuwaa hai
haay sajjad haay haay sajjad
sajjad sarbaa hai aur meere karwaa hai..(2)

kya hogaya tumhari ghairat ko kalma goyo
kehta hai shamiyo se sajjad ye to socho
logo rasool zadi haay..(2)
pabande reesma hai
haay sajjad haay haay sajjad
sajjad sarbaa hai aur meere karwaa hai..(2)

phupiyo ka sar khula hai kese ye ghum uthaye
bechadari ke ghum se beemar mar na jae
tashna labo ka nauha haay..(2)
zanjreer ki fugha hai
haay sajjad haay haay sajjad
sajjad sarbaa hai aur meere karwaa hai..(2)

namehramo ka majma hasta hai bekaso par
barse hai taziyane har gaam qaidiyo par
kesi hai ye musafat haay..(2)
kya sakht imtehaa hai
haay sajjad haay haay sajjad
sajjad sarbaa hai aur meere karwaa hai..(2)

zakhme jigar bhi roye chalo ne bhi fugha ki
halat pe qaidiyo ki ghurbat pe sarbaa ki
karta hai wo bhi nauha haay..(2)
jo barsare sina hai
haay sajjad haay haay sajjad
sajjad sarbaa hai aur meere karwaa hai..(2)

zulmat ki bastiya hai purkhar wadiya hai
balo se mu chupae zehra ki betiya hai
jo sabr ka khuda hai haay..(2)
khud maaile fugha hai
haay sajjad haay haay sajjad
sajjad sarbaa hai aur meere karwaa hai..(2)

zanjeer ko sambhale ya maa phuphi ko dekhe
in qaidiyo ko roye ya bekasi ko roye
karbobala se ab tak haay..(2)
har gaam imtehaa hai
haay sajjad haay haay sajjad
sajjad sarbaa hai aur meere karwaa hai..(2)

beemar ki musafat na qabile bayaa hai
sadaat ki museebat na qabile bayaa hai
roya qalam bhi mazhar..(2)
safdar bhi nauhakhwa hai
haay sajjad haay haay sajjad
sajjad sarbaa hai aur meere karwaa hai..(2)