Asgar ka lahu

- Safdar Abbas (2014)


Haay.. 
haye asghar, hay hay asghar..(2)

asghar ka lahu jab na liya arzo sama ne haay
asghar ka lahu jab na liya arzo sama ne..(3)

chehre pe mala khoon shahe karbobala ne
asghar ka lahu jab na liya arzo sama ne..(2)

kya jurm tha che maah ke bache ka khudaya..(2)
kyu cheda hai asghar ka gala teere jafa ne haay..
asghar ka lahu jab na liya arzo sama ne..(2)

beshir ne jaa apni fida kardi padar par..(2)
nusrat ke liye di thi sada shahe huda ne haay..
asghar ka lahu jab na liya arzo sama ne..(2)

tu dekhle shabbir ki aaghosh me ya rab..(2)
aaya hai tera deen ye besheer bachane haay..
asghar ka lahu jab na liya arzo sama ne..(2)

farmate the shabbir hifazat tu rakhna..(2)
hai dafn yaha karbobala mere khazane haay..
asghar ka lahu jab na liya arzo sama ne..(2)
na
aaja mere bache mai teri pyaas pe sadqe..(2)
khud aaegi maa ran me tujhe paani pilane haay..
asghar ka lahu jab na liya arzo sama ne..(2)

sar nauke sina par na chadhaye kahi zalim..(2)
shabbir chale lasha-e-besheer chupane haay..
asghar ka lahu jab na liya arzo sama ne..(2)

jab khaime me aaya ali asghar ka janaza..(2)
kohraam bapa kardiya madar ki fugha ne haay..
asghar ka lahu jab na liya arzo sama ne..(2)

sibtain bhala kese bhulaega zamana..(2)
jang jeetli besheer ki masoom ada ne haay..
asghar ka lahu jab na liya arzo sama ne..(2)

haay asghar..hay hay asghar..