Raasil Hussain

- Nadeem Sarwar (2014)


Salam bar Moharram* Salam bar Karbala Salam bar Ashoora Salam bar Hussain a.s   Hussain a.s Hussain a.s x6   Asalam-o-Alal Hussain a.s wa Ali a.s ibnel Hussain a.s wa Aulaadil Hussain a.s wa Ashaabil Hussain a.s   Asalam-o-Alal SHee bil Khazeer Asalam-o-Alal Khadil teere Asalam-o-Alal badan ess Saleem Asalam-o-Alal tagriyal makrooebil aseer Asalam-o-Alal Rasil murgfoo   Allah Allah Min Rasil Hussain a.s X6   Aee Naiza Sawaron k qayadat k shenshah Aee Naiza Sawaron k qayadat k shenshah zulfain teri wal lail han,was shamas ha Chehra Ankhon sa ayan Noor-e-Muhammad saww ka ujala Lab tery han Masroof Tilawat bine Zehra s.a Sajday mae Jhuka Sir to Ibadat ka sharaf tha Naizy pa utha sir to ya sir dur-e-Najaf tha   Allah Allah Min Rasil Hussain a.s x4   thi pusht-e-Muhammad to isi Sir ka musalla aur chadar-e-Tether ha es Sir ka amama mun kunto ka khutba ha isi sir ka khulasa es sir k sabab Karbobala ab hai Mualla Ya sir na jhuka khanjar-o-Talwar k aage Sir zulam ka kham hai tere Inkar k aage   Allah Allah Min Rasil Hussain a.s x4   Rooh-e-Hussain a.s Jabeen-e-Hussain a.s abrooh-e-Hussain a.s chasme Hussain a.s Rukhsar-e-Hussain a.s Dehne e Hussain Lab-e-Hussain a.s dandan-e-Hussain a.s Rukhsar-e-Hussain a.s zeesht-e-Hussain a.s tooleya-e-Hussain a.s Zulf-e-Hussain a.s Khusboo-e-HUssain a.s Zehen-e-Hussain a.s Fikar-e-Hussain a.s guftar-e-Hussain a.s   han,in ankhon ko ha Ahmd-e-Mukhtar ne Chuma Zehra-o-Ali a.s ne lab-o-Rukhsar ko chuma Zulfon ko Hassan ne ha bade piyar sa Chuma behano gala iska kai bar ha Chuma Sardari-e-Abbas a.s isi sir sa judi ha aur Zainab-o-Kulsoom ko ye misl-e-Ali a.s ha   Allah Allah Min Rasil Hussain a.s x4   Maujood tha es sir me Muhammad ka khazana maqsad tha esi sir ka to Islam bachana Zalim ne bohat chaha tha es sir ko jhukana yeh sir na jhuka kat gaya Zehra s.a ka gharana es Sir ka safar sun k jahan rota hai ab tak Ghaibat mein ju ha Mursiya khuwan rota ha ab tak   Allah   Allah Allah Min Rasil Hussain a.s x4   Ashoor ko yeh sir pas-e-gardan sa kata tha Zarben thi lagi tera bohat khushk gala tha Zainab s.a k liya waqt qayamat se kadha tha Zulfon ko pakad kar jo yeh sir Shimar chala tha Afsos Sir-e-Nook-e-Sina jab yeh Sir aya jalta howa Ghar Sham-e-Ghareban ka tha saya   Allah Allah Min Rasil Hussain a.s x4   es sir k masiab ka yeh purdard hai qissa khooni ise ghar mein jo tandoor mein rakha raat aayi to phir Zauja-e-Khooni ne yeh dekha Tandoor se ik noor ka dariya hai ubalta ik bibi siyah posh ne es sir ko uthaya ro ro k kaha haye ghareb-e-Dil-e-Zehra s.a   Allah Allah Min Rasil Hussain a.s x4   Rahib ne ya sir dekha tha jab nok-e-Sina pr khooni sa kaha kaun ha yeh kiska hai yeh sir bola wo bad'ad war k yeh hai bin-e-Haider a.s Rahib ne wo sir le liya khooni ko diya zarr Sir goud mae rakhe howy rota raha Rahib Awaz-e-Foga Zehra s.a ki sunta raha Rahib   Allah Allah Min Rasil Hussain a.s x4   Ya sir kbi sandook mae tandoor mae rakha es sir ko darkahton pa laeeno ne sajaya naizy pa esy shehr ki galiyon mae phiraya hamrah aseeron k ya sir sham jb aya Sajjad a.s ko Zainab s.a ko rulaty thay sitam gar Sir bali Sakina s.a ko deakhaty thay sitam dar Allah   Allah Allah Min Rasil Hussain a.s x4   darbar-e-Yazeedi mae bapa jashan-e-talb tha thay aik taraf ahl-e-haram gufta-o-griya aur samnay tha takhat pa marjana ka beta us takhat talay sir tha Hussane ba khata ka badbakhat laie nashay mae lalkar raha tha dandan-e-Shah-e-Dee pa charee marr raha tha   Allah Allah Min Rasil Hussain a.s x4   jis waqat ya sir Sham k zindan mae aya sir bhaie ka zainab s.a ne kaljay sa lagaya Sajjad a.s ne behosh Sakina s.a ko jagaya Sir baba ka pehlu mae Sakina s.a ne ju paya Aee Sarwar-e-Rehan qayamat ka sama tha Shabir a.s ka sir rota tha aur shor-e-foga tha   Allah Allah Min Rasil Hussain a.s x4