Aansu bahati hai sakina

- Shahid Baltistani (2014)


Fatema Zahra..(4)
Sayyeda tahera sayyeda(4)
Haay Sakina haay Sakina
Zahra ki tarah aasu bahati hai Sakina - 2

Bachpan me zaifa - 2
nazar Aati hai sakina

Haider se shikayat kiya karte the hamesha
Zahra ko musalmano ne rone na diya tha
Rone pe tamache Yaha - 2
Khaati hai Sakina

Kis karb se guzri hai bataya na kisi ko
Zahra ne Koi zakhm dikhaya na Ali ko
Sajjad se zakhmo ko - 2
Chupati hai Sakina

Jalte hue darwaze ko Zahra ne bujhaya
Dono ko musibat me kisine na bachaya
Jalte hue daman ko - 2
Bujhati hai sakina

Zehra ko Mila baap pe rone k liye ghar
Allah re shabbir ki beti ka muqaddar
Zinda ko azakhana - 2
Banati hai sakina

Darbaare sahaba me Gai Fatima zehra
Ye soch ke sajjad ne fir sar na uthaya
Darbaare sharabi me -  2
Hai jaati hai sakina

Zahra bhi bohot tadpi thi furqat me padar ki
Par baap ko is tarha sada deti hai Bachi
Zahra ko bhi turbat me - 2
Rulati hai sakina

Dono ki hi turbat pe andhero ka hai pehra
Yu lagta hai sajjad sada deti hai zahra
Mehdi tujhe zinda me - 2
Bulati hai sakina