Mere janaze se
- Syed Raza Abbas Zaidi (2026)
Ali ke ghar mein ye kaisi Ali pe gurbat thi
Hussain seene se lipte the kya kayamat thi
Ukhadti saanse thi haaye Qareeb rukhsat thi
Ali ke honton pe ye aakhri wasiyat thi
Mere janazay se Zainab ko mat chhudana Hussain
Mere janazay se Zainab ko mat chhudana Hussain - 2
Wo jab talak na kahe - 2
Chehra mat chupana Hussain
Mere janazay se Zainab ko mat chhudana Hussain - 2
Jo beti dekh nahi paayi Mera sar zakhmi
Na jaane kaise mujhe wo kafan mein dekhegi
Wo seh na paayegi - 2
Duniya se mera jaana Hussain
Sambhalna Meri mayyat pe mar na jaaye behan
Wo jaanti hai ke tumko nahi milega kafan
Khayal rakhna kafan - 2
jab mujhe udhana Hussain
Tumhare chehre pe wo gam na dekh paayegi
Yateem hai meri aur toot jaayegi
tum uske saamne haaye
tum uske saamne aansu nahi bahana Hussain
Chali thi kis tarah talwar ye bata dena
Jo mera haal tha masjid mein wo suna dena
Amama khoon mein haaye
Amama khoon mein dooba nahi dikhana Hussain
Khuda ka shukr ada karke haaye bole Ali
Mere janazay ki rounak hai betiyan meri
Khuda ka tohfa hai ghar,
Khuda ka tohfa hai ghar betiyon ka aana Hussain
Kafan mein dekh ke saanse hi ruk na jaaye kahin
Jahan wo baithe suno tum bhi baith jaana wahin
Wo gash mein aaye toh
Wo gash mein aaye toh shano ko tum hilana Hussain
Rakhoge haath ab unke saron pe tum jaake
Yateem kufa ke be aasra na ho phir se
tum apne haathon se - 2
Khana unhein khilana Hussain
Sukoon milta hai jab paas hoti hai beti
ye jaan jaaoge kyun khaas hoti hai beti
Sakina aaye toh - 2
seene se tum lagana Hussain
Pukaare roke aye Zeeshan aur Raza ye Ali
uthane de na janaza agar meri beti
tum uske saamne haaye
tum uske saamne Abbas ko bulana Hussain