Mohammad se Mohammad tak

- Syed Mohammad Shah (2021)


khuda ka mukhtasar laskhar Muhammad say Muhammad tak
magar bhari hain lakho par Muhammad say Muhammad tak

maza ajayega madh e abutalib sunanay ka 
milein gaye qabr kay andar muhamamd say Muhammad tak

nusayri kis ko kis ko apna rab manay ga tu akhir
nazar aty hain sub haider Muhammad say Muhammad tak

fulanay say fulanay tak sbhi rehbar tmhry hain
humry muntakib rehbar Muhammad say muhamamd tak

dar e khatoon e janat teri azmat kibriya janay
khary hain sub jhukaye sir muhamamd say Muhammad tak

bachaya deen ko hum nay bachaya hum ko zainab nay
khuda say kehty hain aksar muhamamd say Muhammad tak

nabowat hazrat e adam ko milna gair mumkin thi
na hotay nam jo azbar Muhammad say Muhammad tak

tilawat hogai quran ki mehsoos hota hai
faqt ek manqabat parh kar Muhammad say Muhammad tak