To kya karoge
- Shahid Baltistani (2025)
Jee Maula as
Zuhoor ka waqt agaya hai imam say lu lagaye rakhna
Yeh pochta hun main khud say aksar
Zuhoor hoga to kia karogay
Ba izn e mehdi jo niyaton say uthay ga parda to kia karogay
Jab ayega wo ali ka beta Karega nusrat ka wo taqaza
Faqat zubani hy ger aqeeda Kahan chupaogay apna chehra
Ju us ghari phir qadam na uthengy jo sohay kaba to kia karogay
Yeh pochta hun main khud say aksar
Zuhoor hoga to kia karogay
Ali wali ki wila hai aujab Kabhi na samjhota is pey karna
Ali kay mansab pey shak na karna Ali pey jeena Ali pey marna,
Sawal ger barhweyn Ali ney Ali ka pocha, To kia karogay
Yeh pochta hun main khud say aksar
Zuhoor hoga to kia karogay
Karo tasawar qareeb apne kia agr na talab unho ney
Tumhe muhabbat bohot hai unsay Magar amal kay sabab unho ney
Tumhari janib nigha e ulfat say ger na dekha, To kia karogay
Nabi ki ummat ka aik hona bohot zarori hai yaad rakhna
Magar hain ju bhi udo e zahra tum un pa bhi beyshumar karna
Namak halali ka hai takaza Sawal hoga, To kia karogay
Tum apni aasaisho ki khatir Tamam zariye bana rahe ho
Wo aa rahy hain khayal rakhna jo tum yeh dolat luta rahe ho
Tumhare uper kahin kisi ka bhi haq ju nikla, To kia karogay
Wo waris e fatima ju aa key khud apni dadi ky haq may bolay
Ameen ger tum nahi ho socho tum apne Maula say kiya kahoge
Agr wo poche ky khums ka tum ny hy kia kiya, To kia karogay
Adab say farsh e aza pey jao gham e shah e karbala manao
Kahan ki dulat kahan ki shohrat farab e duniya say baaz aao
Tumhara yeh bhi amal rahega agr na sacha, To kia karogay
Abhi to itra rahy ho lekin qareeb hy ab hisab ka din
Sawal tum ney Bohot kiye hain hai samne ab jawab ka din
Tumhare pallay koi bhi khaalis amal na nikla, To kia karogay
Yahi Surani payam e haq hay sitam ky agay kabhi na jhukna
Sada e haq ko baland karna kabhi bhi Darvaish tum na darna
Barooz e mehshar tumhare haq may na boli Zahra, To kia karogay