To kya karoge

- Mir Hasan Mir (2025)


Ali ka beta hai aane wala.

jab aaye ga waris-e-haqeeqi koi fasana nahi chaley ga.
Ali wali ke mukhalifon phir koi bahana nahi chaley ga.

Ali ke dushman, Ali ka beta jo laut aaya to kya karoge.
aur aa ke oss ne fidak ka tum se hisab manga to kya karoge.

Ali ki aamad ka jo nishaan hai abhi bhi tum se mita nahi hai.
zahoor-e-qayam pe phir dobarah hansa jo kaba to kya karoge.

batao fatwa farosh mufti azza ke waris ke hukam par jab.
hussain ibn-e-Ali ka matam haram mein ho ga to kya karoge.

tamam nabiyon ko tum jo sahib Ali se afzal bata rahe ho.
namaz ibn-e-Ali ke pichey parhein gay esa to kya karoge.

humein jo kehte ho shia kafir zamane walo yeh soch lena.
baroz-e-mehshar khuda ne jannat mein hum ko bheja to kya karoge.

abhi tu kamtar samajh rahe ho magar imam-e-zamaan ne aa kar.
khud apne nazdeek matami ko agar bithaya to kya karoge.

aray tum apni kamzoor mantiqon se yazid ko jo bana rahe ho.
bana ke qaidi ghali ghali mein ossay phiraya to kya karoge.

aray jahan chupo gay aye munkiro tum makaan kahey ga yahan chupay hain.
batao bad-e-zahoor tum par yeh waqt aaya to kya karoge.

khuda Ali ko to keh rahe ho magar zara der ko to socho.
kiya Ali ke khuda ko aate hi oss ne sajdah to kya karoge.

aray takallum se jalnay walo zabaan se sholay ugalney walo.
kahenge maula jab oss se aa kar padho qaseeda to kya karoge.