Bus Ab Amma Chali Jao

- Meesum Abbas (2022)


Apne Nazdeek Jo Zehra Ko Tadapta Dekha
Jod Kar Haath Hussain Ibne Ali Ne Ye Kaha
Aap Ki Waaste Waade Ko Nibhaun Amma
De Ijazat Ke Mai Sar Apna Kataun Amma

Kaha Shabbir Ne Ro Kar Chalega Halq Par Khanjar
Bas Ab Amma Chali Jao

Na Dekha Jayege Tumse Hamari Maut Ka Manzar
Bas Ab Amma Chali Jao

1) Meri Gardan Pe Ay Amma Churi Zaalim Chalayega
Najis Zaanu Wo Apna Jis Ghadi Seene Pe Rakhega
Ghutega Dam Bahot Mera Chalegi Saans Ruk Ruk Kar
Bas Ab Amma Chali Jao
Kaha Shabbir Ne Ro Kar...

2) Har Ek Mushkil Mein Ay Amma Madad Ki Aap Ne Meri
Hamare Saath Darya Se Uthayi Laash Ghazi Ki
Tumhara Shukriya Tumne Uthaya Laasha E Akbar
Bas Ab Amma Chali Jao
Kaha Shabbir Ne Ro Kar...

3) Madina Yaad Aajaye Na Karbal Mein Tujhe Amma
Meri Dadi Pakad Kar Shimr Marega Mujhe Amma
Tumhari Tarha Mere Bhi Padenge Neel Chehre Par
Bas Ab Amma Chali Jao
Kaha Shabbir Ne Ro Kar...

4) Yahin Se Alwida Kehdo Hamare Peeche Mat Aana
Tumhara Pehlu Zakhmi Hai Nahi Tumse Chala Jaana
Hamein Takleef Hoti Hai Jo Tum Chalti Ho Jhuk Jhuk Kar
Bas Ab Amma Chali Jao
Kaha Shabbir Ne Ro Kar...

5) Tadap Jayegi Abbas E Jari Ki Laash Darya Par
Shaheedon Ke Dilon Par Phir Se Chal Jayega Ek Khanjar
Nabi Ki Laadli Tumko Na Lag Jaye Kahin Pathar
Bas Ab Amma Chali Jao
Kaha Shabbir Ne Ro Kar...

6) Jo Tum Jhuk Jhuk Ke Chalti Ho Tumhe Pehchaan Jayegi
Tumhare Bayn Sun Sun Ke To Uski Jaan Jayegi
Kahin Ghabrake Zainab Aa Na Jaye Ran Mein Be Chadar
Bas Ab Amma Chali Jao
Kaha Shabbir Ne Ro Kar...

7) Na Jaane Sabr Tha Sajjad Kitna Shaahzadi Mein
Kata Shabbir Ka Sar Fatema Zehra Ki Jholi Mein
Hussain Ibne Ali Kehte Rahe Chalta Raha Khanjar
Bas Ab Amma Chali Jao
Kaha Shabbir Ne Ro Kar...