Haaye Sakina Meri

- Ali Mohammad Sultanpuri (2025)


Waqt Naza Kahta Raha Shah Ka Alamdar

Haye Sakina Meri Haye Sakina
Tashna Dahan Mar Na Kahi’n Jaye Dilafgaar
Haye Sakina...

1. Hatho’n Me Kuza Liye Khhaime Ke Darpar Khadi
Paani Ki Ummeed Me Hogi Sakina Meri
Payegi Jisdam Khabar Mashk Meri Chhid Gayi
Roke Kahegi Chacha Pyas Meri Bujh Gayi
Dil Me Rahe Ga Ye Qalaq Sayyed E Abrar
Haye ...

2. Naaz Uthata Raha Jiska Mai Shamo Sahar
Aaj Bhatiji Meri Hai Wahi Tashna Jigar
Kya Kahu’n Kis Darja Ab Gham Ka Hai Dilpar Asar
Tashna Dahani Faqat Uski Hai Peshe Nazar
Chashm Hui Kah Ke Yahi Ghazi Ki Ghazi Ki Khu’nbaar

3. Haye Nahi Bujhsaki Bachcho,N Ki Tashnalabi
Wada Na Pura Hua Aur Qaza Aagayi
Kaise Kahu’n Kis Qadar Mujhko Hai Sharmindagi
Laash Na Jayegi Ab Khaime Me Aaqa Meri
Roke Yahi Kahta Raha Shah Ka Alamdar

4. Karta Hu’n Mai To Safar Hogi Qayamat Magar
Chhayegi Gham Ki Ghata Bekas O Mazloom Par
Zulm Sahegi Bhala Kis Tarah Jaane Pedar
Phat Ta Hai Ye Soch Kar Ba Khuda Mera Jigar
Baad Mere Uspe Sitam Dhaye’nge Aghyaar

5. Teero,N Ki Baarish Hui Naizao Khhanjar Chale
Zulm Ki Had Ho Gayi Bazu Qalam Ho Gaye
Mashk Nahi La Sake Gurz Laga Gir Pade
Nahr Pe Maare Gaye Be Khata Ammu Mere
Sunke Khhabar Royegi Wo Bekaso Laachaar

6. Shakl Bhateeji Ko Mai Kaise Dikhau,N Bhala
Mout Se Majboor Hu’n Kaise Mai Jau’n Bhala
Pyas Sakina Ki Ab Kaise Bujhau’n Bhala
Mashk Me Paani Nahi Kaise Batau’n Bhala
Noha Yahi Padhta Raha Shah Ka Madadgaar

7. Jiska Bilakna Kabhi Mujhko Gawara Na Tha
Pyas Se Tadpegi Wo Maine Ye Socha Na Tha
Pani Mai Laata Nahi Ba Khuda Aysa Na Tha
Jang Mai Karta Yaha’n Shah Ka Irada Na Tha
Kahke Yahi Rone Laga Paikar E Isaar

8.Hai Ye Taswwur Faqat Noha Alamdaar Ka
Koun Likhega Bhala Ranj Wafadaar Ka
Maqsad E Khursheed Hai Ashak Azadaar Ka
Tazkera Karta Hai Wo Shah Ke Ghamkhawar Ka
Samjho Zaba,N Ahle Aza Kahte Hai'n Ashaaar