Ye zulm hai kaisa
- Sadik Abbas (2020)
Do baar utha ghar sey Shabbar ka Janaaza
Yeh Zulm Hai Kaissa
Zainab key labon par hai har waqt yeh Noha
Yeh Zulm Hai Kaissa
Nikla tha Janaza jo ghar laut key aaya hai
Ujla tha Kafan leykin ab khoon mei nahaya hai
Behnon ney kahan rokar hum luthgaey bhayya
Yeh Zulm Hai Kaissa
Kya Pehlu-e-Madar mei na dafn huwa betha
Jaan leykey bhi ummat ko kya chayn naheen aya
Jiss ghar sey mila kalma uss ghar ko hi lutha
Yeh Zulm Hai Kaissa
Phir Khana-e-Zehra mei Matam hai qayamat ka
Qassim ki yateemi par kartey hai Haramm girya
Waali key guzarney par behosh hai Farwa
Yeh Zulm Hai Kaissa
Karti hai bapaa matam Awlaad-e-Nabi saari
Hai sarey Madiney mei Shabbar ki Azaadari
Har shaqs key hothon par, hai eyk hi jumla
Yeh Zulm Hai Kaissa
Shabbir bhi rotey hai bhaayi ki judaayi mei
Ab koyi naheen tumssa iss saari Khudayi mei
Teeron sey sajaaya hai Taaboot tumhara
Yeh Zulm Hai Kaissa
Iss teeron ki baarish mei Taboot uthey kaissey
Aaey na Janazey mei As'haab Payambar key
In bhugh key maaron ney yeh din bhi dikhaya
Yeh Zulm Hai Kaissa
Amma ki judaayi key they zakhm abhi taaza
Zainab ko uthana hai ik aur abhi sadma
Hai "Mazhar" o "Sadik" ka Majliss mei yeh Noha
Yeh Zulm Hai Kaissa