Zawwar-e-karbala
- Sadik Abbas (2020)
Ay Zair-e-Hussain
Zawwar-e-Karbala
Nabi ki nazr-e-karam hai
Khuda ki rehmat hai
Khusha nasseb key tum
Zair-e-Hussain baney
Ay janey waley safar ko
Najaf sey Karbobala...
Mere Hussain ko mera
Salaam kehdena...
Meri taraf sey wahan parhkey
Marsiya Nawha
Mere Hussain ko mera
Salaam kehdena...
Payadapa jo safar ishq ka shuru hoga
Tumhara jissm aqeedat sey ba wazuu hoga
Qadam uthaaongue chalne ko har qadam pai zara
Tumharey payron mei chaallon key jo nishaan hongey
Mere Hussain ki ulfat ke tarjumaan hon gye
Padhe ga apke pairon mai jis gari challa
Jahan se sarhad e Karbobala shuru hogui
Wahan pai khushbo e Shabbir chaarsu hogui
Mehak Hussain ki mehsos ho to behre khuda
Batana Sheh ko watan mai ghulam rota hai
Tumhari yaad mai wo subh o shaam rota hai
Labon pai us ke rawan hai faqat yahii misra
Jo poncho Karbobala khayma Gah-e-Sarwar par
Jahan Akhii se bichartii thi ik Behan muztar
Usi maqam pai jaa kar yai kaam karna mera
lagii thi Hazrat-e-Akbar ko jis jagha barchii
Jahan Hussain ney bete ki lash rakhii thii
Wahan pai Hazrat-e-Akbar ka parhkey ik noha
Jahan pai Hazrat-e-Abbas key kattey baazu
Jahan Hussain qamar par na rakh sakheye qabuu
Wahan pai dey ke zara deyr Shah ko pursa