Haaye haaye meri dukhtar
- Tejani Brothers (2025)
Kehti thi ye maa qabray Sakina (sa) say lipaat ker, haeay haeay meri dukhtar
Bin tayray watan Jaon bhala kaise mai dilbar...
Armaan tha pehlo me tujhay apnay chupati
Baazo jo khulay hotay to durro(n) say bachati
Dil phat ta hai dilbar, haeay haeay meri dukhtar
Deikho to zara qabr pay maa aaee hai bayti
Aur saath rehaee ki khabar laee hai bayti
Awaz do uth ker,haeay haeay meri dukhtar
Seh aaee hai pehlay hi ye Asghar(as) ki judaee
Maa kaysay Juda hogi Bhala qabr say tayri
Mar jaayegi madar, haeay haeay meri dukhtar
Is shaam ki zulmat me Sahara nahi koee
Sub ghair hein basti me humara nahi koee
Chhodun tujhay kis per, haeay haeay meri dukhtar
Kaano me jo pehnaeay thay baba nay tumharay
Gohar wohi jo shimr nay cheenay thay tumharay
Laayi houn wo gohar, haeay haeay meri dukhtar
Her gaam tumhay shimray sitamgar ne hai mara
Kis terha sunaongi me ahwaal ye Sara
Abbas (as) ko jaa ker, haeay haeay meri dukhtar
Ab apna hi ghar qabr Nazar aayega mujhko
Maa keh Kay koee kis tarha behlayega mujh ko
Asghar ha na Akber, haeay haeay meri dukhtar
Taa umr tera sog manaon gi me bayti
Ab saaye me hergiz nahi baythongi ay bayti
Me jaongi jab ghar, haeay haeay meri dukhtar
Ay Noor Ali jitna guzar jaeay Zamana
Roeay ga Sakina (sa) ko Tejani ye gharana
Her baar ye keh ker, haeay haeay meri dukhtar