Phool se jism ke tukde tere beta qasim

- Anjuman E Dua E Zahra (2020)



Phool se jism ke tukde tere beta qasim
Kaise bardasht kare maa ka kaleja qasim...(2)

1. Zakhm itne hai tere rukh pe samee aspaa ke
Tera pehchan me aata nahi chehra qasim

2. Isqadar dasht me ghodon ne tujhe roundha hai
Sar kahi par hai tera aur kahi sehra qasim

3. Jiske aazaa-e-badan bhi na salamat aae
Hai bahattar me shahid aisa akela qasim

4. Umr ka tha ye taqazah ke tu zinda rehta
Dum teri goud me madar ka nikalta qasim

5. Apne sartaj ke main zakhm na bhuli thi abhi
Chordh kar chal diye tum bhi hume tanha qasim

6. Dekhkar lash ke tukde teri gash khaya hai
Mar naa jaye kahi dahshat se sakina qasim

7. Tum agar dekhte beta to jigar phat jata
Tumne dekha hi kaha maa ka tadapna qasim

8. Apne guldaan me tu isko sajakar rakhna
Karbala phool ke manind hai mera qasim

9. Jisne rakhi hai tere naam ki mehendi ghar me
Iski aulad ko parwan chadhana qasim

10 . Hashmi khoon ka kuch esa baha hai dariya
khoon mai dhub k ubrah hai savera qasim

11. Tere aulad agar hoti toh hoti ummed
ab na hoga mere aagan mai ujala qasim

12. Noor ankho ka tere saath hua hai ruksat
Cha gaya hai mere ankho mein andhera qasim

13. Baad tere to mein ek laash hu chalti firti
Aur duniya ne mujhe samjha hai zinda qasim

14. Shabe furqat ke andhero mein ghiri hu beta
Khogaya hai meri qismat ka sawera qasim

15. Chudiyan apni bhadane ko teri mayyat par
Maang mein khaak bhare aai hai bewa qasim

16. Haddiya jism ki sab hogai zera zera
Milgaya khak mein kuch ghosh bhi tera qasim

17. Misle suraj ke chamakne lage nashtar ka naseeb
Aap karle jo qubool aaj ye nauha qasim