Hussaini Arbaeen
- Mohammad Kazim (2020)
Ye Arbaeen Arbaeen Arbaeen Hai(2)
Akbar Ka Arbaeen
Asgar Ka Arbaeen
Moula Husain Aapke Lashqar Ka Arbaeen
Husaini Arbeen(2)
(1) Sarwar Ke Sogwaaro Ke Lab Par Hai Marsiya
Dil Me Game Husain Hai Aankho Me Karbala
Lazim Tamam Shey Pe He Shabbir Ki Aza
Utra Hai Aasma Se Farishto Ka Qafl
(2) Dehleeze Shaahe Di Pe He Maqqe Ka Ahtqaaf
Sab Ka Hai Ye Akida Nahi Koi Ikhtelaaf
Manzar Dikhai Deta Hai Qabe Ka Saaf Saaf
Sab Kar Rahe Hain Rouz E Shabbir Ka Tawaaf
(3) Hasil Irakiyo Ko Hai Moula Ki Noukri
Karte Hain Zayereen Ki Khidmat Khushi Khushi
Karbobala Ki Wadi Me Pyaaso Ke Naam Ki
Chaaro Taraf Hai Aaj Sabile Lagi Hu
(4 )Manzar Ye Arbeen Ke Jaisa Kahi Nahi
Kaale Libaas Me He Azadaare Shaahe Di
Farshe Aza Me Ho Gyi Tabdeel Sar Zami
Mehsoos Hota Hai Ke He Jannat Yahi Kahi
(5 )Ham Se Husain Razi Ho Sab Ka Hai Ye Hadaf
Maatam Ki Pursadaaro Ne Bandhi Hui Hai Saf
Aankhe Hain Karbala Me To Dil Hai Suye Najaf
Labbaik Ya Husain A.S Ka Hai Shor Har Taraf
(6) Kya Puchte Ho Zayere Sarwar Ki Manzelat
Deedare Karbala Se Banaate Hain Aakherat
Kis Ko Nahi Hai Shaahe Shaheeda Ki Marefat
Ye Wo Hai Bokhlaai Hai Jis Se Yazeediya
(7) Ye Shaah Ka Karishma Hai Ye Shaah Ki Bisaat
Choti Si Karbala Ko Di Itni Badi Hayaat
Lakho Nahi Yaha Pe Carodo Hai Ak Sath
Daato Tale Ab Ungli Dabaye N Kayenaat
(8) Kazim Ki Guftagu Hai To Rizwan Ka Qalam
Sun Kar Munafekeen Ka Niklega Aaj Dam
Hatho Me Leke Hazrate Abbas Ka Alam
Ye Ishq Ka Safar Yu Hi Jaari Rakhenge Ham