Rahega Qayam Zikr Husaina

- Kamiyab Ali Balsania (2023)


Khuda Quraan Me Farmata He
Fazkuruni Azkurkum Yani Tum Mera Zikr Karo Main Tumhara Zikr Karunga
To Husain Ibn E Ali Ne Khuda Ke Zikr Ko Is Tarha Se Kiya
Sina Ki Nok Pe Aaya, Kalam Jisne Sunaya Khuda Se Wada Nibhaya To Khud Khuda Ne Kaha

Rahega Qayam Zikr Husaina Rub Ka Ye Tujse Wada Hai
Khud Hi Khuda Khilqat Say Apni.......(2). Zikr Husain Karata Hai

Rahega Qayam Zikre Husaina......

Ye Umr E Tifla Peer O Javañ Ye , Halka E Matam Ki Tehzeeb
Ye Shabedari Ye Ghumguzaari ,
U Ghum Mana Ne Ki Tarkeeb ,
Farsh E Aza Or Ye Majlise...........(2)
Yunhi Khuda Bichwata Hai

Tujse Hi Zinda Hai Ye Azane ,
Tujse Namazein Hai Baaki.
Tujse Hai Zinda Din E Muhammad ,
Zikr E Khuda Tujse Jaari.
Zikr Tera Ye Zinda Rahega ...........(2)
Eilan Rub Farmata Hai.

Pouche Jo Koi Ahl E Aza Se ,
Hai Kis Ke Hukm Ki Ye Takmeel.
Kyu Kar Lage Hai Har Ghar Me Parcham ,
Kyu Kar Lagi Pani Ki Sabeel.
Zikr E Shah E Waala Ke Sadqe.........(2)
Langar Vo Lagwata Hai

Zikr E Husaina Karne Ki Khatir ,
Ik Qaum Rub Ne Banayi Hai Khas.
Na Bhuk Inko Na Pyaas Koi ,
Nohe Ki Or Matam Ki Hai Aas.
Zikr E Husain Me Kaate Zabaan To...........(2)
Khoon Se Ubhar Kar Aata Hai

Tuj Par Ye Panchi Rote Rahege ,
Royegi Ye Kaliya O Shajar ,
Arsh O Zameen Bhi Matam Karegi ,
Noha Karege Jin O Bashar ,
Zikre Husain Ke Dard Ko Sunkar.........(2)
Charkh Lahu Barsata Hai
 

Adam Ho Chahe Moosa Ho Eesa ,
Sub Ke Hai Labpar Zikr E Husain.
Vo Shams Ho Ya Shehbaaz Koi ,
Zikr Tera Hoga Din Rain.
Ho Shah Tum Apne Waliyo Ke........(2)
Roze Pe Likhwata Hai
 

Saare Jahaan Me "NOOR" Hai Failaa ,
Arsh E Ulaa Ho Ya Ho Zameeñ.
Or "KAAMYABI" Mil Ke Rahegi ,
Zikr E Husain Jo Hoga Kaheeñ.
Har Anjuman Ke Nohe Ke Sang Sang........(2)
Rabb E Jahaañ Dohrata Hai

Suno Azadaro Mehboob Likhta Hai ,
Karbala Me Kis Tarah Se
Mola Hussain Ne Khuda Ka Zikr Kiya

Ik Vo Ghadi Bhi Aa Gayi Karbal Ke Run Me Aaj ,
Uth Ti Hai Aandhi Mot Ki Sheh Ke Chaman Me Aaj.
Bete Se Baap Bhai Se Bhai Juda Kiya ,
Phir Bhi Mere Husain Ne Shukr E Khuda Kiya.

Ya Khuda Shukr Tera
Ya Khuda Shukr Tera

Ladte Hai Shah Dasht Me Jarrar Ki Tarha
Karte The Vaar Haider E Karar Ki Tarha
Kitne To Sar Badan Se Yuñhi Be Khabar Huve
Aaye The Jitne Zad Me Wo Zer O Zabar Huve

Bijli Ajal Ki Jaise Ke Zaalim Pe Padti Thi
Zikr E Khuda Husain Ki Talwaar Karti Thi
Ladte Hai Par Zahen Me To Her Aan Hai Khuda
Roka Ye Kheh Ke War Meherban Hai Khuda

Aawaz E Ghaib Aayi Ke Ab Lot Aa Husain
Razi Hai Tujse Tera Ye Rab Lot Aa Husain
Sajde Me Shah Juk Gaye Hamle Ko Rok Kar
Maalik Karunga Zikr Me Naize Ki Nok Par

Hone Na Payega Kabhi Mujse Juda Husain
Wada Ye Aaj Karta Hai Tujse Khuda Husain