Thak Gaya Hai Hussain
- Syed Shozab Abbas (2024)
Maa Ye Karti Hai Bain (4)
Thhak Gaya Hai Hussain, Thhak Gaya Hai Hussain
Thhak Gaya Hai Hussain (2)
1) Karbala Se Ye Zahra Ki Aayi Sada
Mera Beta Hai Lakht E Dil E Mustafa
Zakhm Khaa Kar Woh Deeñ Ko Bachaane Chala
Zulm Karte Haiñ Aada Woh Hai Be Khata
2) Dekho Baba Nawaase Ne Deeñ Ke Liye
Jaañ Nisaari Pa Apne Pisar De Diye
Had Hai Abbas O Qasim Bhi Maare Gaye
Itne Sadme Utha Kar Ye Kaese Jiye
3) Kham Kamar Hogayi Jab Se Bhaayi Gaya
Dard Bete Ka Beenaayi Sab Le Gaya
Pyaas Itni Ke Shaq Hai Kalaija Tera
Shiddat E Dhoop Se Tu Tadapta Raha
4) Tujhko Maqtal Me Jaane Ki Taaqat Nahiñ
Laashe Akbar Bhi Laane Ki Taaqat Nahiñ
Qabr E Asghar Banaane Ki Taaqat Nahiñ
Zakhm Saare Uthaane Ki Taaqat Nahiñ
5) Kitne Naazoñ Se Bachpan Hai Tera Kata
Zalimoñ Ne Tere Saath Ye Kya Kiya
Kitni Raatoñ Ka Beta Tu Jaaga Huwa
Aaja Maadar Ki Aaghosh Me Laal Aa
6) Toone Akbar Ke Seene Se Kheeñchi Sinaañ
Tere Chehre Pa Asghar Ka Khooñ Hai Ayaañ
Haaye Tere Gale Par Chhuri Hai Rawaañ
Aao Imdaad Karne Ko Ay Baba Jaañ
7) Zulm Se Kiske Zakhmi Hai Teri Jabeeñ
Kisne Beta Teri Pasliyaañ Tod Diñ
Jism Hai Tera Teeroñ Pa Ay NaazneeñPhir Bhi Beta Ye Tu Bolta Kyuñ Nahiñ
8) Bole Shabbeer Waade Ko Poora Karuñ
Hai Ye Marziye Rab Sakhtiyaañ Maiñ Sahuñ
Sajda E Shukr Me Zer E Khanjar Rahuñ
Aap Hi Bolo Maa Ab Maiñ Kaese Kahuñ
9) Asr E Ashoor 'Taqleed' Aañdhi Chali
Shimr Ne Jab Gale Par Chalaadi Chhuri
Qabr E Haider Bhi 'Shozab' Larazne Lagi
Roke Boli Ye Maqtal Me Bint E Nabi