Ye saare nazare ishq ke hai
- Irfan Haider (2025)
Hussain... Hussain... Hussain
Woh jisko saare Hussaini salaam kehte hain
Usay Hussain alayhis salaam kehte hain
Hussain Hussain Maula Hussain, Ya Hussain Maula
Hussain Hussain Maula Hussain, Ya Hussain Maula
Maah-e-Aza ka chaand nikla, aa gayi ghar mein Fatima Zahra
Libaas kaale pehen Ke saare Hussain walay farsh-e-aza pe aaye
Aake parcham karein ge maatam, dilon mein har dam
Zinda rahega yeh gham,
dekhna ek din ban kar Hussaini bolega yeh zamana, Bolega yeh zamana,
yeh saare nazaare Ishq ke hain - 2
Hum ho na ho hamesha hota rahega, Ya Hussain
1. 14 sadiyaan beet chuki hain, gham yeh koi bhi naa bhoola
Dekho humare ghar mein saja hai Babul Hawaej ka jhoola
Jhoolay se behne lipti hui hain, le kar haathon mein kurta
2. Dekho julooson mein jo Hussaini baandhe hue hain Sar pe kafan
Aashiq-e-Mola hain yeh saare, Karbobala hai inka watan
Dil mein udaasi, aankhon mein aansoo, hothoon pe Maula Maula
Rahe Salaamat ishq-e-Hussaini Rahe Salaamat saare Hussaini - 2
Hussain Ya Hussain Maula, Hussain Ya Hussain Maula
3. Qasim ki mehndi, Akbar ka sehra, Taboot o Zuljana
Wo sheh nasheen patke alam ke tasbeehe Fatima
Chadar koi jo baantay to yaad aati hain bibiyan
Aur choti choti shehzadiyaan mein bat'ti hain baaliyaan
Saath alam ke mashke sakina dekhi to dil yeh bola
4. 8 moharram hum karte hain haazri meri Maula Ghaazi ki
Bachon ko apnay sakka banakar sabko pilatay hain paani
Ghaazi ka sadqa milta hai usko aata hai jo bhi pyaasa
5. paao Dabata hai koi khaadim, koi hataata hai pathar
Karbobala ki samt Najaf se jaate hain jab zaer chal kar
Ek sada hai sab ke labon par – Labbaika Ya Hussaina
6. Aashura ki shab saare Hussaini ghar ghar charaga karte hain
Aur aza khanon mein jaa kar rote hain, noha padhtay hain
Karte hain maatam, sun kar azane akbar subhe ashura
7. Aag pe jalna, khoon bahaana
Baap se hum ne seekha hai
Rokay ga hum ko kya yeh zamana
Maatam hamara wirsa hai
Jab tak badan mein khoon hai, baaki Maula ko Dain ge pursa
8. Zeeshan aur Irfan-e-Aza hum Khalq hue is gham ke liye
Maan ne humari paala hai humko majlis aur maatam ke liye
Ungli pakar kar majlis mein laa kar, maan ne bataya beta