Mazloom Hussain Gareeb Hussainam Ya Moula
- Raza Akhtari (2010)
Hussain ..hussain ..hussain
Hussain ..hussain..Hussain
Mazloom hussain gareeb hussainam ya moula 2
Asr ka waqt aaya khuda
Aayi sada e fatema
Aye mere laal aye laqte jigar
Saya bhi na hai tere sar par
Hussain.. Hussain..hussain
Na hai kafan
Badan ko tere ya moula
Aankh har ek ke ab ye purnam ya moula
Mazloom hussain gareeb hussainamnya moula 2
Naize pe sar aaya Tera
Kaamp uti daste Bala
Ran me aayi zainab e muztar
Roti tadapti thi dukhiya khwahar
Hussain .. Hussain..hussain
Behen teri be aasra hai ya moula
Tera aseer kunba hua hai ya moula
Mazloom hussain gareeb hussainam ya moula 2
Hazrat e Abbas e ali
Jaan diye ummul bani
Darya hai aur phir mashko alam
Us par Ghazi pyaasa tha paiham
Hussain ..hussain..Hussain
Qaimon me hai gul ye barpa ya moula
Palat ke vo aaya na saqqa ya moula
Mazloom hussain gareeb hussainam ya moula 2
Sakina ne rokar Kahan
Mere pidar ho tum kahan
Mai hu baba aur hai sitamgar
Kaan hai zakhmi chin Gaye gouhar
Hussain ..Hussain..Hussain
Kaanon par lagado marham ya moula
Nikal na jaaye ab mera dam ya moula
Mazloom hussain gareeb hussainam ya moula 2
Sajde me sar kata Diya
Rab ka naam bada Diya
Karte rahenge Hussain ka matam
Iqbal o Raza rote hai peham
Hussain..Hussain..hussain
Tera gham sab se bada hai ya moula
Gulshan e zehra ka matam ya moula
Mazloom Hussain gareeb hussainam ya moula 2
Hai la fata aaha rafiya ya moula 2