Mujhe Abbas na kehna

- Irfan Haider (2025)


Abbas - 4

Kaun aaya hai maidan mein, samaa maut ka chhaya
Darya se sitamgaron ne pehron ko hataya
Maidan mein Alamaan... Alamaan Sadaayein 
Abbas ki jis simt bhi jaati thi nigahein

Is Ghayz se sakkae haram aaya tha rann mein
bas ek sada Goonj rahi thi yahi ban me 

Mai shere nayastaane haider hu
Abbas ameere lashkaram kaisa hai jaho hasham
Ek haath mein hai mashk aur ek haath mein parcham

chalo Bhago yahan se, chhodo darya aa gaye hai ham
Main Qamare Bani Hashim hoon
Suno, Abbas hoon main... Suno, Abbas hoon main
Mere Baba... Mere Baba
Mere Baba, Ali jaisa agar na ho mera humla

Nahi kehna... Nahi kehna
Mujhe Abbas na kehna, Abbas na kehna mujhe
Abbas na kehna mujhe, Abbas na kehna

Suno darya ke pehredaron, yeh Ghaazi ka naara hai
Hamari milkiyat hai, paani par qabza hamara hai
Agar himmat hai to bolo ke yeh darya tumhara hai
Magar ek baar main na cheen loon tumse mai yeh darya

Nahi kehna... Nahi kehna
Mujhe Abbas na kehna, Abbas na kehna mujhe
Abbas na kehna mujhe, Abbas na kehna

Ali ka laal hoon, Jarraar hoon, Nade Ali hoon main
Jalaal aye to sar se paon tak, yaad-e-Ali hoon main
Yeh hargiz bhool na jaana, Ali baad-e-Ali hoon main
Agar talwar ki tarah na kaate tumko yeh naiza

Nahi kehna... Nahi kehna
Mujhe Abbas na kehna, Abbas na kehna mujhe
Abbas na kehna mujhe, Abbas na kehna

Ladoge mujhse Kya tumko mera ashal kuchal dega
Agar main hukm de doon, nahr ka naqsha badal dega
Lehed tak yaad rakhoge, tumhein aisi ajal dega
Jo kehta hoon, woh karta hai, agar aisa na ho Wallah

Nahi kehna... Nahi kehna
Mujhe Abbas na kehna, Abbas na kehna mujhe
Abbas na kehna mujhe, Abbas na kehna

Jeena hai ya marna hai, khud soch lo kya karna hai
Naslon ko tumhari warna mere naam se hi darna hai
Agar roohon ko bhi na kaat doon main jismon ki tarah

Nahi kehna... Nahi kehna
Mujhe Abbas na kehna, Abbas na kehna mujhe
Abbas na kehna mujhe, Abbas na kehna

Na ladhne ki ijaazat hai, na ladhne ka iraada hai
Sakina kab se pyaasi hai, yeh gham sabse zyada hai
Bas ek mashkiza bharne do, mera tumse yeh wada hai
Magar paani piye ek boond, yeh sehroz ka pyaasa

Nahi kehna... Nahi kehna
Mujhe Abbas na kehna, Abbas na kehna mujhe
Abbas na kehna mujhe, Abbas na kehna

Wahan Zeeshan o Irfan-e-Aza, pehra hai Ghaazi ka
Jabhi to Karbala koi Yazidi ja nahi sakta
Wafa ke Badshah ka unhein hai khauf itna
Ali ka sher hai woh, saron ko kaat dega
Abhi tak yaad hai unko mere Ghaazi ka yeh kehna

Nahi kehna... Nahi kehna
Mujhe Abbas na kehna, Abbas na kehna mujhe
Abbas na kehna mujhe, Abbas na kehna