Aye Zuljanah Kuch To Bata Baba Kahan

- Mir Hashim (2024)


Baba hai kahan, baba hai kahan (2)

Aye Zuljanah aye zuljanah kuch tho bata baba kahan...
Noha sakina ka ye tha kuch tho bata baba kahan ...

1) Mehshar bapa haye hogaya kaise sukoon ab aayega,
Chod aaya maqtal me sare baba kahin par hai pada,
Kaise rahungi abb juda aye zuljanah aye zuljan ah ...

2) Bhaiya chacha maare gaye sar se Rida chini gayi,
Darya gaye the jab chacha bazu kate mashk chidi,
Ab aayegi mujhpe kaza aye zuljanah aye zuljanah...

3) Bhai Mera cheh maah ka lekar Gaye suwe nainawa,
Nanha gala teer laga khoon baha gardan chida,
Jhoola bhi Haye jalgaya aye zuljanah aye zuljanah...

4) Mare mujhe hai ashkiyan khenchi hai meri baaliya,
Kurta Mera haye jalgaya gardan me baandhi rassiyan,
Neend aayegi kaise bata aye zuljanah aye zuljanah...

5) Kya khaiz tha manzar wahan likhna sake HASHIM jawan,
Haye musibat aagayi kehde Mera Akbar kahan,
Kaise jiyungi mai bhala aye zuljanah aye zuljanah...