Ya Ali Madad
- Irfan Haider (2025)
Ya Haider (a.s), Ya Haider (a.s), Ya Haider (a.s), Ya Haider (a.s), Ya Haider (a.s)
Haider (a.s), Ali Maula (a.s), Ali Maula (a.s), Haider (a.s)
Alhamdulillahillazi ja'alana minal mutamassikeena bi wilayate Ameeril Momineen Ali ibne Abi Talib (a.s)
Ali Haider (a.s), Haider (a.s)
Ali Maula (a.s), Haider (a.s), Ali Maula (a.s), Haider (a.s), Ali Maula (a.s), Haider (a.s)
Ali ibne Abi Talib (a.s), Ghalib 'ala kulli ghalib
Agha janam, Agha janam, Agha janam – Ya Ali (a.s)
Ishq-e-Ali (a.s) Rehmatullah (Ali a.s, Ali a.s), Bughz-e-Ali (a.s) La'natullah
Haan main madhosh hoon, main jaam-e-wilayat pee kar (Ya Ali a.s)
Baitha hoon dar-e-ishq pe misle Qanbar (a.s)
Mat chhedo mujhe, main sag-e-Haider (a.s) hoon, mawali hoon
Abbas (a.s) ke Baba (a.s) ka main aashiq hoon, jalaali hoon
Haan log deewana-o-mastana samajhte hain mujhe
Aur main Hazrat-e-Behlool ki danai hoon
Mera qibla hai Najaf, aur manzil hai Ali (a.s)
Jo dhadakta hai mere seene mein, woh dil hai Ali (a.s)
Ali (a.s), Ali (a.s), Ali (a.s), Ali (a.s), Ali (a.s), Ali (a.s), Ali (a.s), Ali (a.s)
Mujh ko pehchaan le duniya
Mujh ko pehchaan le duniya, main Ali (a.s) wala hoon
Jod kar haath mein karta hoon salaam aur kehta hoon
Ya Ali Madad – Haider (a.s), Ya Ali Madad – Haider (a.s)
Yeh sunnat-e-Nabi (s.a.w) hai, kaho Ya Ali Madad
Ya Ali (a.s) mujh ko tere ishq-e-muqaddas ki qasam (Ya Ali a.s)
Tu ne har daur mein rakha hai malangon ka bharam
Lal Shahbaz Qalandar (r.a) bhi yeh kehte hain:
Haideri-am, Qalandar-am, Mastam!
Bakhuda aaj bhi Sehwan se yeh aati hai sada
Aasmanon mein yeh kehte hue main urta hoon
Yeh sunnat-e-Nabi (s.a.w) hai, kaho Ya Ali Madad
Ouj lagta hai mujhe daar pe aana mera
Ya Ali (a.s), aap ki na’alain thikaana mera
Jo bhi munkir hai, use maut nazar aata hai
Naara-e-Haider-e-Karrar (a.s) lagana mera
(Naara-e-Haidari… Ya Ali a.s!)
Muskura kar yeh sar-e-daar kaha Maisam ne
Wird yeh karte hue main bhi yahan tak pohncha hoon
Yeh sunnat-e-Nabi (s.a.w) hai, kaho Ya Ali Madad
Saari duniya ne yeh ilzaam lagaya mujh par
Main ne iqraar kiya: Main hoon Ali (a.s) ka naukar
Dost, ahbab halaali bhi hoon, maulaai bhi
Baith kar shaam-o-sehar karte hain Haider, Haider (a.s)
Bas wohi shakhs mujhe apna nazar aata hai
Jis ke paakeeza labon se main yeh jumla sunta hoon
Yeh sunnat-e-Nabi (s.a.w) hai, kaho Ya Ali Madad
Kaash din aisa bhi aaye ke Ali (a.s) mujh se kahein:
Aa ke mimbar pe meri jang sunao mujh ko
Kaisa lagta hoon main jab mujh pe jalaal aata hai
Ran mein jab Hazrat-e-Imran ka laal (a.s) aata hai
Un ke qadmon se lipat kar yeh kahoonga Maula (a.s):
Jang ladhna koi seekhe to Ali (a.s) se seekhe
Jis ke chehre se chhalakte hon ilahi tewar
Aur lehje se dehal jaayein lashkar ke jigar
Tegh haathon mein jo aa jaaye, kahe jinn-o-bashar:
"Al-Amaan, Sher-e-Khuda (a.s), Fatah-e-Khaibar (a.s), Haider (a.s)!"
Tera jumla meri Sarkar nahi rok saka
Aaj tak koi tera waar nahi rok saka
Ali Waliullah – Ali Karam Allah
Ali Asadullah – Ali Wajhullah
Ali Aynullah – Ali Janbullah
Ali Baabullah – Ali Izzatullah
Sher-e-jari tu hai, nafs-e-Nabi (s.a.w) tu hai
Khaibar mein utri jo Naad-e-Ali (a.s) tu hai
Jab bhi koi mushkil aayi to
Maulaji (a.s) main ne kaha: Ya Ali Madad!
Aag se tu ne hi Ibraheem (a.s) bachaya
Aur Hazrat-e-Yaqub (a.s) ko Yusuf (a.s) se milaya
Tu sab ki madad karta raha jis ne pukara – haan
Ya Ali Madad
Haan
Akhtar o Irfan-e-Aza Naad-e-Ali par
Khaas karam hai yeh tera, Saqi-e-Kausar (a.s)
Aate hain majlis mein yeh jab barsar-e-mimbar
Hota hai sab ke labon par: Ali Haider (a.s), Haider (a.s)
Ali Haider (a.s), Haider (a.s), Ali Haider (a.s), Haider (a.s), Ali Haider (a.s), Haider (a.s)