Abtak Hai Zabano Pe Alamdaar Alamdaar
- Ali Zia Rizvi (1990)
Ab Tak Hai Zubano Pe Alamdar-Alamdar
Abbas Alamdar Abbas Alamdar
Aye Shere Jawan Aye Pisre Haidar-e-Qarrar
Abbas Alamdar Abbas Alamdar
Ab Tak Hai Zubano Pe Alamdar-Alamdar
Abbas Alamdar Abbas Alamdar
1) Bin Hato'n Ke Kis tarha Tu Ghode Se Gira Tha
Ye Chashme Tasaur Se Bhi Socha Nahi Jata
Aye Bazu Burida Mere Sardar Alamdar
2) Ek Aankh Me Pewast Raha Tire Sitamgar
Afsoos Ke Us Waqt Magar The Na Mayassar
Jis Waqt Tujhe Haath The Darkaar Alamdar
3) Shabbir Tadapte Rahe Furqat Me Tumhari
Rote Huye Har Bar Tumhe Shah Ne Sada Di
Khanjar Ka Hua Jitni Dafa Waar Alamdar
4) Mara Hai Tere Bad Use Aise Shaki Ne
Zalim Ki Anguthi Ke Nisha Rah Gaye Muh Pe
Dekho Zara Masooma Ke Rukhsar Alamdar
5) Jab Chhane Laga Shame Ghariba'n Ka Andhera
Wo Aagai Pahre Pe Liye Hato'n Me Naiza
Zainab Ne Nibhaya Tera Qirdaar Alamdar
6) Dekhengi Nigahe Tere Kis Tarha Wo Manzar
Ek Pal Ko Bhi Thaherega Na Naize Pe Tera Sar
Jab Jaegi Zainab Bhare Bazar Alamdar
7) Zainab Ke Bhi To Haath Pase Pusht Badhe The
Bin Hatho'n Ke Ghode Se Gira Jaise Tu Waise
Naqe Se Giri Zainabe Lachar Alamdar
8) Hai Bas Ye Dua Sare Azadaro'n Ke Lab Par
Denge Tujhe Sab Matmi Pursa waha aakar
Karbal Ka Bana Do Hame Zawwar Alamdar
9) Ab Mujtabah Dur Nahi Waqt Wo Zyada
Jab Khooney Hussaini Ka Liya Jaega Badla
Aur Aap Ko Di Jaegi Talwaar Alamdar
Ay Lashkar-e-Shabbir Ke Saalar Alamdar
Abbas Alamdar Abbas Alamdar
Ab Tak Hai Zubano Pe Alamdar-Alamdar
Abbas Alamdar Abbas Alamdar