Shaam jana hai

- Irfan Haider (2025)


Shaam Jaana Hai
Labbayk Ya Zainab (s.a), Labbayk Ya Zainab (s.a), Labbayk Ya Zainab (s.a), Labbayk Ya Zainab (s.a)
Ya Sayyida Ya Abal Fazl Abbas (a.s), Ya Sayyida Ya Abal Fazl Abbas (a.s), Ya Sayyida Ya Abal Fazl Abbas (a.s)

Saqaa-e-Sakeena (s.a), Aey Saakin-e-Madina
Saqaa-e-Sakeena (s.a), Aey Saakin-e-Madina

Har Husaini Dil Ki Tum Ho Aas Ya Hazrat Abbas (a.s)
Mojiza Koi Dikha Do, Shaam Ka Phir Humein Zawwar Bana Do
Maula Abbas (a.s)... Maula Abbas (a.s)... Maula Abbas (a.s)
Tum Ko Sakeena (s.a) Ka Wasta
Shaam Jaana Hai... Shaam Jaana Hai... Shaam Jaana Hai... Shaam Jaana Hai
Saqaa-e-Sakeena (s.a), Aey Saakin-e-Madina

Ho Gayi... Ho Gayi... Dekho Phir Ek Baar Akeeli Zainab (s.a)
Yaad Aati Hai Azaadaron Ko Bibi Zainab (s.a)
Aap (a.s) Ko Chaadar-e-Zainab (s.a) Ki Qasam Hai Maula (a.s)
Band Hai Bibi (s.a) Ka Darbaar Yeh Gham Hai Maula (a.s)
Ab Na Shehzadi (s.a) Ke Gunbad Pe Alam Hai Maula (a.s)
Woh Alam Phir Se Sajaa Do
Shaam Ka Phir Humein Zawwar Bana Do

Shaam Jab Karbala Hote Hue Jaaoon Ga
Aap (a.s) Ki Qabr Se Mashkeza Mein Bhar Laaoon Ga
Turbat-e-Baala-e-Sakeena (s.a) Pe Kahoonga Bibi (s.a)
Maula Abbas (a.s) Ne Bheja Hai Tumhein Yeh Paani
Ab Talak Shaam Ke Zindan Mein Hai Jo Pyaasi (s.a)
Us Bhatiji Se Mila Do
Shaam Ka Phir Humein Zawwar Bana Do

Phir Sakeena (s.a) Ke Roze Pe Giriya Karein
Chaahte Hain Ke Hum Munh Ka Pursa Karein
Dil Tarapta Hai Hum Ko Bata Deejiye
Shaam Jab Yaad Aaye To Hum Kya Karein
Zakhmi Kaanon Ka Hai Aap (a.s) Ko Wasta
Maula Abbas (a.s)... Maula Abbas (a.s)

Phir Se Ek Baar Halab Ja Ke Ziyarat Kar Lein
Shah (a.s) Ka Sar Jahan Rakha Tha Woh Pathar Chumein
Ab Bhi Aati Hai Jahan Maula (a.s) Ke Khoon Ki Khushboo
Halqa-e-Matam-e-Shabbir (a.s) Bana Kar Har Soo
Is Tarah Noha Padhein Aur Bahaaein Aansoo (x2)
Tum Humein Aake Dua Do
Shaam Ka Phir Humein Zawwar Bana Do

Jab Mujhe... Jab Mujhe Shaam Ke Bazaar Ki Yaad Aati Hai
Maula Abbas (a.s), Meri Jaan Nikal Jaati Hai
Aap (a.s) Ki Behnein (s.a) Jahan Laayi Gayi Be-Chaadar
Phainki Sadqe Ki Khajooren, Kabhi Maare Pathar
Haath Rehta Tha Sakeena (s.a) Ka Jahan Chehre Par
Tum Woh Bazaar Dikha Do
Shaam Ka Phir Humein Zawwar Bana Do

Amma Fizza (s.a) Ki Lahad Dekh Loon Aur Sheereen Ka Ghar
Maula (a.s), Phir Shaam Ka Darbaar Bhi Dekhoon Ja Kar
Hans Ke Zaalim Ne Jahan Naam Liya Zainab (s.a) Ka
Aur Kaneezi Mein Sakeena (s.a) Ko Jahan Maanga Gaya
Khoon Rote Rahe Sajjad (a.s) Jahan Par Tanha
Izn Zainab (s.a) Se Dilaa Do
Shaam Ka Phir Humein Zawwar Bana Do

Kijiye... Kijiye Hazrat Abbas Alamdar (a.s) Madad
Dekhein Zainab (s.a) Ka Haram Aur Sakeena (s.a) Ki Lahad
Hai Yeh Zeeshan Aur Irfaan-e-Aza Ka Wada
Shaam Jis Roz Bhi Dono Ka Bulawa Hoga
Bibiyaan (s.a) Ke Liye Hum Apne Watan Se Wallah (x)
Le Ke Jaayenge Rida Do
Shaam Ka Phir Humein Zawwar Bana Do