Ummat Ne Haal Kardiya
- Hasan Abbas (2024)
Haye Mazloom Hussain..
Haye Mazloom Hussain...
Ummat Ne Haal kardiya Kaisa Hussain ka.. ×2
Bikhra Pada Hai Dasht Me Lasha Hussain Ka
Ummat Ne Haal kardiya Kaisa Hussain ka... ×2
1.Ruk Jaa Aye Shimr Rok le Khanjar ko thodi Der... ×2
Zainab Gala na Dekh le Kat ta Hussain ka
2.Halqoome Shahe deen pe Chalti na thi Churi... ×2
Allah Itna Khushq gala Tha Hussain ka
3.Asghar ko sheh ne Jalti Zamee'n par leta Diya... ×2
Haye Tadapta Reh gaya Beta Hussain ka
4 Gurbat pe Shahe Wala Ke Haste the Ahle Shar.... ×2
Rota Raha Khayam me Kunba Hussain ka
5.Seene Me Naujawan ke Barchi Utaar kar... ×2
Lete Hai Imtehan Yu Aada Hussain Ka ×2
6.Behno ko Apni dekh ke Raaho Me Nange Sar... ×2
Rota tha Haye Sar Sare Naiza Hussain Ka
7.Haider Ghame Hussain Me Peeto Tum apna Sar... ×2
Zehra ko Aaj dena hai Pursa Hussain ka
Kaisa Hussain Ka
Kaisa Hussain Ka