Akbar ghar aaja

- Irfan Haider (2025)


Andheray ghar mein Sughra (s.a) diye jalati hai
Jab dil ghabrata hai, jab yaad satati hai
Beemar behn (s.a) tujko ro ro ke bulati hai
Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila

Yaad mein teri ro ro kar mar jaayegi Sughra (s.a)
Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila

Tu door hai mujh ko yeh gham hai
Baba (a.s) ki tujhe qasam hai
Main takti rahi tera raasta
Madine se tu jab gaya Karbala
Karbala... Karbala... Haaye Karbala
Mujh ko bhi le chal, poora kar de waada
Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila

Ab katt'tay nahi hain din aur raat
Main kaise jiyun tere bin
Yahan aa gayi mujhe maut agar
Mere bhai (a.s) aana meri qabr par
Qabr par... Qabr par... Haaye Qabr par
Nana (s.a.w) ki jaa kar karti hoon roz duaa
Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila

Aawaaz mein teri jeetay ji
Main phir se azaan sun loon
Tujhe dekhna hai mehrab mein
Tu ek baar aa ja mere khwab mein
Khwab mein... Khwab mein... Haaye Khwab mein
Main ne dekha hai zakhmi tera seena
Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila

Akbar (a.s) yeh tamanna hai meri
Main shaadi rachaaoon teri
Behn bhai hum dobara milen
Badhani hain bhaiya mujhe mannatein
Mannatein... Mannatein... Haaye Mannatein
Maanein hain main ne, dekhoon tera sehra
Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila

Jab chaand Muharram ka dekha
Dil mera tadap ke bola
Khuda se yeh hi duaa main ne ki
Badhade mere bhai ki zindagi
Zindagi... Zindagi... Haaye Zindagi
Meri bhi tujh ko lag jaaye mere bhaiya
Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila

Sughra (s.a) ne khat mein Zeeshan
aur Irfan-e-Aza yeh likha
Sar-e-Karbala yeh khat khol kar
Hussain (a.s) aa gaye ek jawaan laash par
Laash par... Laash par... Haaye Laash par
Aakar Shah (a.s) bole: Paighaam hai Sughra (s.a) ka, haaye
Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila