Uth jaa mere sajjad

- Irfan Haider (2025)


Uth ja mere Sajjad (a.s.)
Haaye Sajjad (a.s.), Haaye Sajjad (a.s.), Haaye Sajjad (a.s.)
Shaam-e-Ghareeban, jalte khaime, uthta dhuwan
Aun (a.s.) o Muhammad (a.s.) ki maa (s.a.)
Aayi Sajjad (a.s.) ke khaime mein
Kaha shaana hila kar rote hue
Aabaad rahegi Karb-o-Bala ×2
Chal Shaam karein aabaad — uth ja mere Sajjad (a.s.)
Uth ja mere Sajjad (a.s.) — mera maan-jaya nahin aaya
Sun Zainab (s.a.) ki fariyaad — uth ja mere Sajjad (a.s.)

Amma (s.a.) ka haath galay par tha, door se dekha tha main ne (haaye)
Maqtal mein sookhi gardan par jab Shimr ne teerah waar kiye
Woh bhai (a.s.) mera… waayela… maara gaya pyasa… waayela
Jis bhai (a.s.) par qurbaan hui ×2
Pyaasi meri aulaad — uth ja mere Sajjad (a.s.)

Khaimon mein hi jal jaayein na, khaimon se nikal jaayein baahir (haaye)
Kya hukm hai tera Zainab (s.a.) ko, ek baar bata de tu uth kar
Na Qasim (a.s.) hai, na Asghar (a.s.) hai, Abbas (a.s.) hai aur na Akbar (a.s.) hai
Bas tera sahaara hai hum ko ×2
Bhaiya Shabbir (a.s.) ke baad — uth ja mere Sajjad (a.s.)

Yeh Shaam-e-Ghareeban hai beta (a.s.), teri pehli shaam-e-imaamat ki (haaye)
Teri salaari mein Shaam talak karna hai safar ban kar qaidi
Na mahmil hai, na howdaj hai, na lashkar ki woh saj-daj hai
Jab haath bandhenge gardan se
Ghazi (a.s.) aayega yaad — uth ja mere Sajjad (a.s.)

Be maqna o chadar, naaqa se humein jaana hai Sajjad (a.s.) jahan (haaye)
Aye laal (a.s.) suno, kaise hoga Sadat (a.s.) ka isteqbaal wahan
Bazaar mein aane se pehle, rokenge humein darwazay pe
Galiyon ko sajaaya jaayega ×2
Naye honge sitam ijaad — uth ja mere Sajjad (a.s.)

Sajjad (a.s.) teri masoom behan (s.a.) zalim ke tamaachay khayegi (haaye)
Maangega kaneezi mein haakim, darbaar mein jab woh jaayega
Mar jaayegi durre kha kha kar, zindan mein usko dafnakar
Tujhe rona hai chalis baras ×2
Na honge kabhi hum shaad — uth ja mere Sajjad (a.s.)

Az Shaam, az Shaam, az Shaam suna aur aankhein kholein Abid (a.s.) ne (haaye)
Zainab (s.a.) ne kaha, aye Zeeshan o Irfan sahaara dete hue
Maqtal mein paday un laashon ka, chehlum karne un pyaason ka
Aayenge dobaara Karb-o-Bala ×2
Jab honge hum aazaad — uth ja mere Sajjad (a.s.)
Haaye Sajjad (a.s.)