Mera akbar maar diya
- Syed Raza Abbas Zaidi (2025)
Haay jawaan akbar jawaan kadiyal jawaan - 2
Maara gaya hai neze se beta Hussain ka
Ye sunke ajab haal tha maula Hussain ka.
Kabhi girte thay, kabhi uthte thay
Kehte thay Hussain (a.s) yeh ro ro kar
Mera Akbar (a.s) maar diya
Kis tarah uthaoonga laasha haaye main apne kandhe par
Mera Akbar (a.s) maar diya
Bete ki judai aankhon ki beenai bhi le jaati hai
Ek maa ja jaakar khaymo ki deewaron se takraati hai
Jab baap sadaayen deta hai ran mein laashon se takra kar
Mera Akbar (a.s) maar diya
Armaan Akbar (a.s) ki shaadi ka mere dil mein hi dam tod gaya
Socha tha main usko apne haathon se banaoonga dulha
Yeh baap sajaayega haaye ab sehra kis ke maathe par
Mera Akbar (a.s) maar diya
Athara saal jise paala naazon se meri Zainab (s.a.) ne
Barchhi ke baad us betay ko talwaron se maara sab ne
Kis tarah kahoon ga khaymon mein jab jaoonga laasha le kar
Mera Akbar (a.s) maar diya
Mujhe hausla de warna beta tera Baba bhi mar jaayega
Mujh se tere qatil kehte hain tera Akbar (a.s) ab na aayega
Woh neiza dikha kar hanstey hain jab kehta hoon main ro ro kar
Mera Akbar (a.s) maar diya
Chalte chalte yeh kehte hue haathon se kamar ko thaam liya
Abbas (a.s) agar tum hotay to mera Akbar (a.s) bhi zinda hota
Pehle tujhe maar diya aur ab in Shaam ke logon ne mil kar
Mera Akbar (a.s) maar diya
Jab paas Ali Akbar (a.s) ke pohnche, zakhmi uska seena dekha
Bete ne aakhri hichki li, jab toota hua neiza kheencha
Shabbir (a.s) ne bas yeh kehte hue sar rakh diya zakhmi seene par
Mera Akbar (a.s) maar diya
Zeeshan o Raza jab beti ka khat betay ke seene pe rakha
Shabbir (a.s) ke ashkon ki tarah Akbar (a.s) ka khoon tapakne laga
Jis haath se barchhi khenchhi thi, us haath se likha jab khat par
Mera Akbar (a.s) maar diya